Meray sabar ka na lay imtehan
Meri khamshi ko sada na dey
Tu aziz dil-o-nazar say hai
Tu kareeb rag-o-jaan say hai
Meray jism-o-jaan ka yeh faisla
Kahin waqt or barha na de
Tujhe bhol k b na bhula sakon
Tujhe chah k b na pa sakun
Wo Tarap jo shola-e-jaan mein thi
Meray tan badan say lipat gae
Jo bujha sakey tu bhuja ise
Na bhujha sake tu hawa na dey
Agar milay kabhi fursatein
Meri tanhai sanwar dey
Yun judaiouy ki saza na dey
Raat ki gheri khamoshi main
chupkay se dheemay se
sergoshi main
koi mujh se bola
suno!
tum wohi ho na jo raat hotay he
meri Ankhon mai utar aati ho
meri aankhon mai jugnoon ki tarha
roshan ho jati hai
ek roshan taray ki tarha
neendo main utar aati ho
tum wohi ho na?
Main boli
haan main wohi hon
Woh bola…bohut buri ho
meri neenden ura ker
khud chain se so jati ho…