kaha tha na....
mujhay tum iss tarha sotay huay mat chor k jana
mujhay baishak jaga dena
bata dena
zindagi k safar mei meray sath chal nahi sakhti
khuwaishon k safar mei meray sath chal nahi sakhti
tumhain rasta badalna hai
meri hadh se nikala hai
tumhain kis baat ka darr tha
tumhain janay nahi deta ?
kahin pe qaid ker leta ?
aray Pagli
Mohabbat ki haqeeqat mei zabardasti nahi hoti
jissay rasta badlna ho ..
ussay rasta badlnay se
jissay hadh se nikalna ho
usay hadh se nikalnay se
na koi rok paiya hai na koi rok paye ga
meray sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k lia kuch bhi nahi baki
magar khonay se darta hon
mei abb sonay se darta hon
Phoolon Se Puchho Isme Singar Kitna Hai
Mere Dil Se Puchho Isme Pyar Kitna Hai
Saaye Ki Tarha Tumhara Pyaar Saath Rehta Hai
Tumhare Saath Guzra Hua Har Lamha Yaad Rehta Hai
Ilfaz kuch nhi kahte andaz-e-bayan bulta ha
Har shab mere ander daba insan bulta ha
Baton mein uski zara b pyas nahi hoti
Bus une ik pyasa insan bulta ha
us nay phool bhajay hain
phir meri ayadat ko
eik eik patti ma
un laboon ki narmi ha
un jamil hathoon ki
khushgawar hiddat ha
un latif saansoon ki
dilnawaz khushboo ha
dil ma phool khiltay hain
rooh ma chiraghan ha
zindagi mouattar ha
phir bhi dil ye kehta ha
baat kuch bana leta
waqt k khazanay say
eik pal chura leta
kash.....wo khud aa jata