Mere jaise ban jaoge jab

Mere jaise ban jaoge jab
Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Deewaaron se sir takrao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Har baat gawarah kar lo ge, mannat bhi utaara karoge
Taweezein bhi bandhwao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Tanhai ke jhoole khulenge har baat puraani bhoolenge
Aayine se tum ghabrao ge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Jab suraj bhi kho jaaye ga aur chand kahin so jaaye ga
Tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhe ho jaaye ga
Bechaini bhar jaaye gi aur yaad kisi ki aaye gi
Tumhe meri Ghazal yaad aaye gi Jab Ishq Tumhe Ho Jaaye Ga.......
  

Jun, 07 2010     543 chars (4 sms)     4798 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tumhari Aankhain Panion Say Bhari
Her Waqat Brasnay Ko Tayar

Samandar Say Gahri Aankhain
In Aankhon Say Ho Gaya Hay Payar
apne hoontoon pe sajaana chaahta hoon
aa tujhe main gungunaana chaahta hoon


koi aansoo tere daman par gira kar
boond ko mooti banaaana chaahta hoon

thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chaahta hoon

chaa raha hai saari basti main andhera
roshni ko ghar jalaana chaahta hoon
Mein chahta hee na tha lajawab kerna tumhein
Werna jawab mere pas her sawal ka tha
Tumhari jeet se humy khushi hoti hai
Yehi jawaz mere pass apni haar ka tha
Khulta Hy Kisi Pe Kin Mere Dil Ka Ma''amla

Shero''n K Intikhaab Ne Ruswaa Kia Mujhe
Mohabbat Say, Inayat Say, Wafa Say Chot Lagti Hai,,Bikherta Phool Houn Mujh Ko Hawa Say Chot Lagti Hai,Meri Aankhon Main Aansoo Ki Tarha Ek Baar Aa Jao,Takaluf Say, Banawat Say, Aada Say Chot Lagti Hai,Main Shabnum Ki Zuban Say Phool Ki Aawaz Sunta Houn,Ajab Ahsaas Hai Apni Sada Say Chot Lagti Hai,Tujhe Khud Apni Majburi Ka Andaza Naheen Shayad,Na Ker Ahed-E-Wafa, Ahed-E-Wafa Say Chot Lagti Hai...!!!
Dil Ki Khamoshi Se
Saanso''n k Theher
Jane Tk

Yaad Aayega Mujhy
Wo Shaks Marr Jane
Tk

Us Ne Ulfat k b
Paimaany Bna Rakhy
Thay

Me Ne Chaha Tha
Usay Hadh Sy Guzar Jane
Tak ...
Aik din us nay mujsy pochha: kia mujhy bhol jao gay?
Main ny kaha...

Tum ny dehki nahi phoolon ki wafa??
Wo jis py khilty hain usi par murjha jaty hain.
Maine Socha Tha Inkaar Kar Dun,
Magar Ikraar Hota Chala Gaya,
Likha Tha Baad Mein Dhoka Khana,
Isliye Mujhe Pyar Hota Chala Gaya
Jahan tak ho sake khud ko bacha lo badnam hone se,
muhabat khatam hoti hay muhabat aam hone se,
Mera pathjhar k musam se taluq hi sahi lekin,
Main kese rok sakta hon tujhe Gulfam hone se
Ishq se mili jo Tanhayian hame..

Kaise unka dard bayan karenge..

Ek se hi mohabbat itni karli humne..

Ab Auro se mohabbat kya karenge...
Kabhi na tootnay wala hisar ban jaon

Woh mujh mai rahnay ka faisala to karay
Akela Hun Magar
Abaad KarLeta Hun Veerane.
Bohat roye ge Mere baad Meri Shaam- E- Tanhaai..