Usey Main Bhool Jana

Usey Main Bhool Jana
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana Chahta Hoon

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon

Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon

Mere Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon
  

Jun, 07 2010     558 chars (4 sms)     10839 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

manzilain zok-e-tajasus ko sulaa deti hain!

ariz

hum raahon ke talabgar hain manzilon ke nahi..
Us ki khwaish hai k aangan main utarey suraj

Bhul betha hai ke khud maum ka ghar rakhta hai .
mere begair nahi hogi teri shnakht kbi puri...

teri zindagi k sath mere hawalay bohat hain...
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
Mohabt Dilo Ko Awara Bana DetiHe,

Gardish Me Rehne Wala Sitara Bna Deti He.

Ye Apni Hadd Me Rahe To Thik Wrna,

KisiKo VEER Kisiko ZAARA Bna deti he
is ajnabi shahar mein yeh pathar kahan sy aaya sagar..

logon ki iss bheer main koi apna zaror hai..
Dahr Dahr Bhatak then hain Armaaan Ki tarah
Har koi miltha hai AAnjan ki Tarah.
is Duniya se Khushi ki Aaas kya karen.
yehan to Gham Be dete hain EK Ehassan ki tarah
Takdeer k hum staaye gaye hain,

Pyaar mein har taraf se thukraaye gaye hain.

Aaj hum gum k musaafir hain,

Magar aise hum the nahi banaaye gaye hain.
Logon Ne Kaha..!
Is Derrr Se Kabhi
Koi Na Umeed Nahin Lauta
Koi Khali Haath Nahin Gaya
Main Bhi Logon Ke Sath Chala
Chehre Pe Gird-E-Malal Liye
Ek Pur Umeed Khayal Liye
Ek Khali Dast-E-Sawal Liye
Jab Kafila Us Der Per Puhancha
Main Us Ghar Ko Pehchan Gaya
Phir Khaali Hath Hi Laut Aya
Us Derrr Se Mujhe Kia Milna Tha….?
Woh Ghar Tu Mera Apna Tha……..!!!
main ne jub bulbul sa poucha dird-a-furqit k ilaj

shakh-a-gul se gir pari tarpi trp kir mir gye.
zindaGi to Apne hi Qadmm pe chalti hY FARAAZ



Auron k saharaY To JanazaY Utha karte hain.
Har Tarah K Jazbat Ka Elan Hain Ankhen.
Shabnam Kabi Shola Kabi Tufaan Hain Ankhen.
Ankhon Se Bari Koi Tarazu Nai Hoti.
Tulta Hai Bashar Jis Mai Wo Mezan Hain Ankhen.
Ankhen Hi Milati Hain Zamanay Mai Dilon Ko.
Anjan Hain Hum Tum, Agr Anjan Hain Ankhen.
Lab Kuch B Kahen Is Se Haqiqat Nai Khulti.
Insan K Sach Jhot Ki Pehchan Hain Ankhen.
Ankhen Na Jhuken Teri Kisi Ghair K Agay.
Dunia Mai Bari Cheez Meri Jaan! Hain Ankhen..