Dil ne jab bhii fareb khaaya

Dil ne jab bhii fareb khaaya
Dil ne jab bhii fareb khaaya hai
Tera andaaz yaad aaya hai


Yeh bhii khuch manzilon se kam to nahin
Raasto mein jo khoya paaya hai


Tum numaaish liye ho daagon kii
Hamne zakhmon ko bhii chuppaayaa hai


Koii marta nahin kisi ke liye
Hamne duniya ko aazmaayaa hai


Waqt-e-hizraan ya vasl ho ''barham''
Hamne dono mein tujhko paaya hai.../
  

Jun, 07 2010     358 chars (3 sms)     8513 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

yeh jaan kar khushi hui k ussay b mere dukh dard ka ehsaas hai,

jana

aaj us ne keh jo diya aakhir tum mar kyun nahi jaate.
sahil k sakun se hme inkar nai magar..

tufanon se kashti nikalne ka maza aur ha,,
Tere na hony se !!
Shayed.....
Zindgi to kut jaye gi
Haaan.....
Tukron main but jaye gi !!
Tum rasm-e-muhabbat kya jano
Tum hunar wafa ka kya jano
Tum mosam khizan ka kya jano
Tum bahar ka mosam kya jano
Tum dil ka tarapna kya jano
Tum aankhon ka tarasna kya jano
Tum ishq mein jeena kya jano
Tum ishq mein marna kya jano
Yeh tumhari muhabbat jaan hai meri
Tum jaan ka matlab kya jano
wo meri lash pr b aa kr ro na saka..!

us shakhas ko meray sakon ka ktna khayal tha...
Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai
Loog Kehtay Hain k Mulaqat Nahi Hoyi,
Hum tu Rooz Miltay Hain Lekin Baat Nahi Hoti....
Tumharay saath rehna hai
Mujhe har waar sehna hai

Mujhe ashkoon ki surat main
Teri ankoon say behna hai

Tumharay hussan par janan!
Udasi bhi tu gehna hai

Yehi tu Juram hai apna
kay hum nay pyar pehna hai

Chalo ab bey rukhi choro
Humain aik saath rehna hai

Hay mera katam afsana!
Tumhin kuch aur kehna hai?
Apnay apnay Bay Wafaoon naY Hamain yakjaa kiyaa






---Warna mein Tera nA Tha or Tu mera na tha---
mahfil na sahi tanhai tu milti hai
milan na sahi judai tu milti hai
kon kahta hai muhabbat mian kuch nahi milta
wafa nahi sahi bewafai tu milti hai
Naa Jaane Kyn nazar Lagi Zamane Ki,
Ab Wajah Milti Nhi Muskurane Ki

Tumhara Gussa Hona To Jayaz Tha,
Humari Aadat Chut Gayi Manane Ki.
Bhool kar apko jayenge kaha.

Ek pal zameen par jee payenge kaha.

Aapse hi muskurahat hai meri zindagi me.

Bina aapke kush reh payenge kaha.