tujh say woh kuch paya
jo kuch main nay chaha
sukh kay pal
chahat ki gharyan
etebar kay rutbay
hum sa maghrur kiya tou nay kabhi dekha hai ?
logun nay tou jhooti nabuwat ka dawah kiya
Hum sa khuda !!!!
khudai ka dawa kerta hae
dekh jannah !
teri muhabbat main
hum kitnay maghrur howay
Dil ke bazaar main daulat nahi dekhi jati,
Pyar ho jaye to surat nahi dekhi jati,
Ek hi insaan pe luta do sab kuch,
Kyonki pasand ho cheez to keemat nahi dekhi jati…..
Rangat teri zulfo ki ghatao ne churai,
Khusboo tere anchal se hawao ne udai.
Paimane ka dil na tut jaye to kahu main,
Hai cheez gazab ki jo nigaho ne pilai.