Yun to zindgi me ajeeb

Yun to zindgi me ajeeb
Yun to zindgi me ajeeb se mod ayenge,

Kabhi khusi to kabhi gam layenge.

Rakhna khud ko sambhal ke,

Kyoki aap hasenge to hum bhi muskurayenge.
  

Jun, 07 2010     151 chars (1 sms)     2203 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apne liye maang loon Khuda se
Hisse main jo hain azaab uske

Waise to woh shokh hai bala ka
Andar hain bohot hijaab uske
Mujhey tanha tanha rahnay do,
Mujey apnay ap main rahnay do,
En logon sy ab dar lagta hai,
Na kisi bat main mera dil lagta hai,
Mujhey yad main us ki kahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do,
Main ro ro kr jab gir jaoon,
Mujhey chup na krao sahnay do,
Mujhey khud sy baghi rahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do,
Ay Raat bta mera chand mila?
Koi tujh pay bhi ilzaam laga?
Mujhey raat ko raat hi kahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do............
Mujhey tanha tanha rahnay do........
Ajab Rishta Hay Jism O Jaan Ka Is Say
Woh Jis Say Koi Bhi Rishta Nahi Hay

Sumbhal Sumbhal K Qadam Rakh Raha Hoon Chahat Main
Main Teri Nazroon Say Gir Kar Sumbhal Nahi Sakta

Gila Hi Kya Jo Hamara Na Hoosaka Woh Bhi
K Ho K Reh Na Sake Hum Bhi Umar Bhar Us K
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
Wafao''n Main Meri Itna Asar To Aaye

Jise Dhondti Hai Nazar Wo Nazar To Aaye

Hum Ajayenge Palak Jhapkane Se Pehle

Ap Ne Yaad Kiya Yeh Khabar To Ayee
Kirdar say aari hoon meray sath na chal
Khud aap pey bhari hoon meray sath na chal
Kahiin bharam hi na hu jay tujh say tera khuda
Lal shulon ka pujari hoon meray sath na chal
Mein samandur hoon maojein hain meri tufan
Barhey zor say jari hoon meray sath na chal
Mein tu apni hasti bhi dao pey laga deta hoon
Aik barhum jawari hoon meray sath na chal
Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me Rone Se Pehle
Her Khwab Toot Jate Hain Sone Se Pehle
Ishq Hai Gunah Ye To Samajh Gaye
Kaash Koi Rok Leta Ye Gunah Hone Se Pehle
Dil Chahe Dekhna Unhe To Batao Aankho Ka Kya Kasoor
Har Pal Mahsoos Ho Jo Unki Khushbu To Sanson Ka Kya Kasoor

Vaise To Har Khowab Pooch K Nahi Aate
Magar Har Roz Unka Khowab Aaye To Raton Ka Kya Kasoor
Baton Baton main bicharny ka ishara kar k,
Khud b roya bahut wo hum se kinara kar k,
Dekh lete hain chalo hosla apne dil ka,
Kuch roz tere bina guzara kar k
Kon Yaad Rkhta Hy Tum Bhi Bhool Jaoge ..

Wasl K Zamany Mein..

Hijraton K Mosam Ko..

Aankh Ki Udasi Ko..

Aarzo Ki Khusbo Ko..

Aitbar Lamhon Ko..

Aitbar Khona Hy..

Zindgi K Haathon Mein..

Zindgi Khilona Hy..

Yaad Hi Nhi Rehta..

Kon Kis Jaga Pr Tha..

Sab Hi Bhool Jate Hyn..

Tum Bhi Bhool Jao Ge..
Tang Aa K Jab Hum Wafa Baichne Nikle,,,,

Logon Ne Khaloos K Bhao Gira Diye....
kis kadr masoom sa lehja tha tha uska.

dheere se jaan keh kr bejaan kr gaya.