Ishq Aur Dsoti Meri

Ishq Aur Dsoti Meri
Ishq Aur Dsoti Meri Zindagi Ka Unwaan Hai
Ishq Meri Rooh Dosti Mera Emaan Hai
Ishq Pe Kerdon Main Saari Zindagi Fida
Magar Dosti pe Mera Ishq bhi qurbaan hai
  

Jun, 07 2010     161 chars (2 sms)     2584 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kisi say besabab uljha nahi tha
Who pehlay tu kabhi aisa nahi tha
Who phir bhi yad rehna chahta tha
Agarchay mein usay bhoola nahi tha
Bohat aala tha uska zarf lekin who meri zat ko samjha nahi tha
Who jaisay berukhi say chal para tha
Mein itna bhi gaya guzra nahi tha
Usay mein kyou bura thehraon yaroo
Who acha tha faqt mera nahi tha
*~Ab k Wo Bichhray ga
to Ye Ilteja KroOn ga Aey Mohsin,,,


Bin Apnay Jeenay ka
Koi Andaaz to Sikhata Ja,,,,,!
jo us kay chehray pe rang-e-heya thehar jay
to saans, saqt, samandur, hawa thehar jay

wo muskrai to hans hans parhain kai mosam
wo gungunay to bad-e-saba thehar jay

subak khram saba chaal chal parhe jub bhi
hazar phool sar-e-raah aa thehar jay

wo hont, hont par rakh de agar dam-e-akhar
mujhe gumaan hay kay aai qaza thehar jay

main uski aankh main jhankoon to jesay jam jaon
woh aankh jhapke to chahoon zara thehar jay
Tum Ne Dekha Hai Kabhi Chand Per Behta Pani..??

MAiNe Dekha Hai Ye Manzar Apna Moun Dhotay Howe... ;->
jazba e ishq alfaz ka mohtaj hai lekan...

jo lafzon mein beyan ho,woh mohabat nahi hoti..
mana k teri deed k kabil nhn hain hum ....

tirshi nazar say dekh magar dekh to sahi....
kyun chhup k mohabat karte ho

sanG Chalne ka dum Bharte ho

jo shikwaY GilaY Hain keh Dalo

kion Baat khulne se Darte ho

use Bhool jao jo Guzar GaYa

kion khud se Itna Larte Ho

mujhe B khud main shaamil kar lo

kion Tanha Aag main jalte ho

B,fikar ho jao ye jaan lo Tum

Tum mere Dil main BastaY Ho.
Kitna Chahte Hyn Tumhain Hum Kabhi gaur Tou Ker

Itne Tou Kabhi Hum Apne Talbgaar Na Thay ...
Har Rishte ko Aajmaya He Humne

Kuch Paya Par Bahut Gawaya Hai Humne

Har Us Shakhs Ne Rulaya He

Jis Ko Bhi Is Dil Me Basaya Hai Humne
Utre jo teri zindagi ki gehrai me hum,
mehfil me reh ke bhi rahe tanhai me hum,
Diwangi nahi to ise aur kya kahe,
Tujhe dhondte rahe apni hi parchai mein hum.../

Tujhy Geet Likho''n
k
Tujhy Meet Likho''n

Ya Janam Janam Ki
Preet Likho''n

Ter Milan k Lamhy
Khwaab Likho''n

Teri Dosti Ko
Gulaab Likho''n

Ya Tujh Bin Jeena
Azaab Likho''n ...
kisi ney pooch liya agar udaasiyon ka sabab....

to moasamon ka gila ker k taal dain gey hum...