Jab Raat K tanha Lamho''n

Jab Raat K tanha Lamho''n
Jab Raat K tanha Lamho''n Main

Koi Aahat mujh Se Kehti hai

Is Dil Main Hulchul Rehti Hai

Koi Jugnoo Paas Se guzre Tou

Koi Baat Halak Se Nikle Tou

Main Khud e Ulajhne Lagta Huun

Phir Jane Kia Kia Kehta Huun

Phir Yaad tumhaari aati hai

Ye Saans Meri Ruk Jaati hai

Ek Shola Mann Main Bharakta Hai

Wo Dard Seher Tak Rehta Hai

Phir Weham Ye Mujh e Kehta Hai

"Koi Mere Dil main Rehta HaI"
  

Jun, 07 2010     419 chars (3 sms)     2768 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mjbooriya''n kahen k isy saadgi kahen...

jis ne b hns k baat ki hum sath ho lye!!
Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega

Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
Kitni Aziyat Se Us Ne Mujh Ko Bhulaya Ho ga
Meri Yadon Ne Usay Khoob Rulaya Ho Ga

Baat Be-Baat Aankh Us Ki Jo Chalki Ho Gi
Us Ne Chehray Ko Bazuon Main Chupaya Ho Ga

Socha Ho Ga Us Ne Din Main Kayi Bar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh K Mitaya Ho Ga

Jahan Us Ne Mera Zikar Suna Ho Ga Kisi Se
Us Ki Aankhon Main Koi Aansoo To Aya Ho Ga

Raat K Bheegnay Tak Neend Na Ayi Ho gi Tujhay
Tu Ne Takiye Ko Bhi Seenay Se Lagaya Ho ga

Ho K Nidhal meri Yadoon Se Tu Ne Jana
Meri Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Ho Ga

Poocha Ho Ga Jo Kisi Ne Teri Haalat Ka Sabab
Tu Ne Baton Main Khoob Us Say Chupaya Ho Ga
q kehtay hain log k sohbat ka asar parrta hai.

mohsin

main to bewafaon ki mehfil mein reh kar bhi wafaaen nibhata raha..!!
wo mujh say poch raha tha batao kaisa laga...
tm aglay zakhm choro ye ghao kaisa laga...

ajab sawal kiya andhiyon nay pat''ton say...
shajar say tot k girna kesa laga...

is ko choro zara apnay dil say ye pocho...
kaha jo us nay mujhay bhool jao kesa laga...
apni khamosh zindagi main bulana mujhko
apni haseen khuawab ki tasveer banana mujhko,
main jo puchun tumhara hal-e-dil,
to apni her dharkan ki awaz sunana mujhko
apna shewa hai aandheron main jalate hain charagh.

unki shazish hai zamane main yonhi raat rahe.
Dill chahey woh koi baat karey
jab dill kay taar tootey hon
jab saarey mujh say roothey hon
jab aankhain meri beeghi hon
dill chahey woh koi baat karey
Aanson Mere Tham Jaein To Shoq Se Jana..




Aise Mein Kahaan Jao Ge Barsat Bohat Hai....
kitni mushkil se muhabat ka hova hai aaghaaz...

kerwatein leti hai kiun khwahis-e-anjaam abhi...!!
her ik mausam main roshni si bekhairtey hain sagar

tumharey ghum ke charagh meri udasiyon main.
Jab say teri chahat apni zindagi bana li hai
Hum nay udas rehna adapt bana li hai
Her din har raat kati hai teri yaad mein
Teri yaad hum nay ibadat bana li hai