Kiss qadar kaam barha

Kiss qadar kaam barha
Kiss qadar kaam barha deti hain yaadein usski
Neend aankhon se uraa deti hain yaadein usski

Main ne chaha jisko, ussko maalooom bhi nahi
Mujhko aur bhi deewaana bana deti hain yaadein usski

Main bhatakta hoon agar raat ke andhere mein
Hosla aur bhi barha deti hain yaadein usski

Jab uthaata hoon nighahein kisi aur chehre ki taraf
Dil mein ik toofaan uthaa deti hain yaadein usski

jab bhi dil mein hota hai gumaan usski rafaaQat ka
Faasle aur bhi barha deti hain yaadein usski...
  

Jun, 07 2010     497 chars (4 sms)     2662 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ab Hogaya Jo Hona Tha,

Bas Itna Hi Mujhko Rona Tha,

Jis Dil Me Rahe Ho Tum Saalo Se,

Wo Tumhare Liye To Ek Khilona Tha.
ik aise shakhs se bhi rah o rasam hain apni

ju berukhi se milen aur ajnabi na lageeeee
subab yeh hai meri barti howi udasi ka.

her shaam se hi naye din k intzaar main hon.
Khayal Tha K Hum Tujhe Raazdan Bana Lete

MaGar Ye LoG Nayi Dastan Bana Lete

Tu Ek Baar Mohabbat Se Dekh Leta To Hum

Zameen Khud Ko Tujhe Asmaan Bana Lete!

Dil Lagi Thi Usey Hum Se Mohabbat Kab Thi
Mehfil-e-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi
Hum Thay Mohabbat Main Lot Jane K Qabil
Us K Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi…
Dard Uthtay hain magar Aah nahi karty,
Kon kahta hai Hum Wafa nahi karty,
Aakhir kyun nahi Badalti Taqdeer Hamari,
Kya Aap bhi Hamary Haq me Dua nahi krte.
Apna gum leke kahi aur na jaya jaye,

Ghar me bikhri chizo ko ghar me he sajaya jaye.

Jin chirago ko hawao ka khauf nhi,

Uun chirago ko hawao se bachaya jaye
Tum Ne Dekha Hai Kabhi Chand Per Behta Pani..??

MAiNe Dekha Hai Ye Manzar Apna Moun Dhotay Howe... ;->
Gam is kadar mila ki ghabra ke pi gaye,

khushi thodi si mili to milaa ke pi gaye,

yun to na thi janam se pine ki adat,

Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pigaye
mujh ko paana hai to phir mujh main utar kar dekho
youn kinare se samandar nahi dekha jaata..........

mug ko mug say goda kia tu nay
mara ban kar ya kya kia tu nay

maray ansoo bi mug say cheen lia
is qadar gum ata kia tu nay.
Ab To Kuch Na Hua Peeke Behek Jaane Se,
Baat Maikhane Ki Baher Gayi Maikhane Se,
Do Nigahoon Ka Jawani Mein Hai Aisa Milnaa
Jaise Deewane Ka Milnaa Kisi Deewane Se,
Dil Ki Ujdi Hui Halat Pe Na Jaaye Koi,
Saher Aabad Hue Hai Isi Veerane Se,
Daro Deewaro Pe Kabza Hai Udasi Ka Nazeer,
Ghar Mera Ghar Na Raha Unke Chale Jaane Se..
Yun he ranjishoun main guzar gayi
kabhi wo khafa kabhi main khafa,
usi mor k har mor pe,
kabhi wo ruka
kabhi mai ruka
wohi raastay,wohi ham safar,
na use khabar na mujhe pata
apni apni anaa mai gum
kabhi wo khuda
kabhi main khuda.......!!!