Hasino ne haseen bankar

Hasino ne haseen bankar
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya
  

Jun, 07 2010     166 chars (2 sms)     3058 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

apni to wo misaal hai jesay koi darakht,
dunya ko chhaon bakhshay aur khud dhup main jalay...
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?
khwahish''n ka kaffila bhi ajeeb hi hai.

saghi

aksar wahi se guzarta hai jahan raasta nahi
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye
aag aisi lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye
Aaj bhi rote hai unhe yaad karke
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE
mujhe maloom hai main us k bina jee nahien sakta,

us ka bhi yehi haal hai

mgr

kisi aor k liye.....!!!!
Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.
Umeed_e_wafa nA Rakh Un LoGon Se

jo miLty hAin kisi se hotAy hAin kisi K
ae saqi tu jo ruswai ka dard mahsos kar k aaj marna chahta hai..

ase kayi dard hain jo hum mahsos ka r k jeete hain..
mai ne jo poocha kismat ka haal.
aankhon se ansson ki do bondain gira dain.
mai ne jo pucha baraish ki wajha.
maathe se paseene ki chand bondain gira dain.
mai ne jo puch husan ka raaz.
jub hi chahre pe do zulfain gira dain.
main jo pucha kayamat ka haal.
palkain utha kar palkain gira dain.
M o h a b b a t

Mohabbat Ek Shajar Hy

Aur Shajar Ko Is Sy Kia Matlab

K Is Ki Chhao''n Main Koi

Thaka Hara Musafir Aa k Betha Hy

Ab Is Ka Rung Kia Hy ?

Nasal Kia Hy ?

Kahan Sy Aaya Hy ?

Isay Kis Simt Jana Hy ?

Shajar Ka Kaam Tou Bas

Chhao''n Dena Aur Dhoop Sehna Hy ..
Sachi hai meri dosti azmake dekhlo,

Karke yaki mujpe mere paas aake dekhlo.

Badalta nahi kabhi sona apna rang,

jitni baar dil kare aag laga kar deklo
Tumko aik talkh haqeeqat bhi bata detay hain,

Jisko aksar ye LOG chupa detay hain,

Tum nay girtay huvay PAT''TON ko to dekha hoga,

APNI har saans wo TEHNI pe ganwa detay hain,

Kya khoob sajatay hain BAHARON main shajar ko,

Kari DHOOP main apna aap jala detay hain,

Kitnay BE-REHAM shajar hain naye pat''ton ki KHUSHI main,

Peelay pat''ton ko khizaon main gira detay hain,

Aur jo girtay hain QADMON main shajar kay,

LOG unhi pat''ton ko pairon main daba detay hain.......;->