Eik sawal zindagi

Eik sawal zindagi
Eik sawal zindagi se kiya karte hain

K hum iss duniya mein kyun jiya karte hain,

Jab kisi k liye kisi k paas waqt nahin to

loug kyu rishtay bana liya karte hain
  

Jun, 07 2010     170 chars (2 sms)     2286 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aya nhi wo lab pe abi raaz-e-muhabat,

Goonj uthi hr traf saaz-e-muhabat,

Dil torte b hen humen chahte b hen,

Ab tak smajh na paye hum ye andaaz-e-muhabat
USKA HI ZIKR HAI AUR MAIN HUN
ISHQ BE KHABAR HAI AUR MAIN HUN

ZYADA KEHNA BHI KYA LAFZ HANSTE SE HAIN
USKA HI ASAR HAI AUR MAIN HUN

FASLE NA RAHE DOORIYAN MIT CHUKIN
PYAR KA IK SHAHAR HAI AUR MAIN HUN

EK GUMNAAM PYAR EK KHAAMOSH ISHQ
HASRATON KA NAGAR HAI AUR MAIN HUN
Tairy Tarz-e-tagaful sai hamain kia gila dost
.
Shayed hamain hi nahi ata dilon mai ghar karna
mohsin dil-e-ghreb ki veranian tu daikh.

kaisa ngar tha jo tere hathoon ujar gia...!!!
Ab mujhe aayaa samajh gham hai mera unki khushi
Muskuraa kar ham tabhi phir Zakhm khane aa gaye

Laakh chaaha hamne rukh yaado se teri modana
Phir bite berah’m lamhe dil dukhaane aa gayee
Apni Be-Basi per Aaj Rona Aaya
Dosron Ko Nahi Mein Ne Apno Ko Aazmaya
Her Aik Ki Tanhaoi Door Ki Mein ne
Lakin Khud Ko her Mor Pe Tanha paya
Mohabbat Thair Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THAIR JAATI HAI..
Muqaddar Main Likhi Koi Baat Ho Tum

Taqdeer Ki Ek Soghat Ho Tum

Kar K Dosti Tum Se Mehsoos Ye Hua

Jaise Sadiyo’n Se Yunhi Mere Saath Ho Tum
jis ne sikhya humen muskurana zindgi main..

bardi harat hoti hai jate lamhe rula kr kaon gaya.
Kuch Hain Dooriyan Kuch Hain Faaslay
Kya Yehi Hain Mohabbat K Zaabtay

Kuch Dil Hai Thora Udaas Udaas
Kuch Weeran Weeran Se Hain Raastay

Kuch Ham Ko Bhi Khabar Nahin
Kuch Tum Se Bhi Nahin Hain Raabtay

Agar Hamain Maangnay Ka Haq Hota To
Hum Tumko Tumhi Se Maangtay
aik muddat say teri yaad bhi aayi na hamain

or tujhe bhool gaye hon ham aisa bhi nahi..
"Meri khamoshi thi jo seh gayi,
uski yaadein hi ab is dil mein reh gayi,
thi shayad uski bhi koi majboori,
jo aaj meri kahani phir adhoori reh gayi"