Tu mera naam na poocha

Tu mera naam na poocha
Tu mera naam na poocha kar,
main teri zaat ka hissa hun,
main teri rooh main shamil hun,
main teri neend ka qissa hun,
main tere khuwab ka hasil hun,
main teri yaad ka mehvar hun,
main teri saans ka jhonka hun,
tu manzar main pas-manzar hun,
main lamha hun,main jazba hun,
jazbay ka koi nam nahi,
tu mera naam na poocha kar!!
  

Jun, 07 2010     336 chars (3 sms)     2890 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
ABI WO DARD BAKI HAI..
AGARCHAY WAQT MARHAM HAI..
MAGAR KUCH WAQT LAGTA HAI.
KISI KO BHOOL JANAY MAIN.
DOBARA DIL BASANAY MAIN..
ABI KUCH WAQT LAGNA HAI..
ABI WO DARD BAKI HAI..
MAIN KAISAY NAEE ULFAT MAIN..
APNI ZAAT KO GUM KAR DON..
K MERAY JISM-O-WAJDAAN MAIN...
ABI WO FARD BAKI HAI...
ABI US SHAKS KI MUJ PAY NIGHAH-E-SARD BAKI HAI...
ABI WO ISHQ K RASTOON KI MUJ PAY GARD BAKI HAI..
ABI WO DARD BAKI HAI
Basaoon Ga main kya Ujray Gharon ko?





Mera apna asasa *Be Basi* hy
Waqt Ne Sari Kahani Hi Badal Dali

Pyar Ka Naam Jo Aata Hy Dar Lgta Hy

Zakham Kuch Aise Bhi Apno''n N Diye Hyn Mujh Ko ''Faraz''

Ab Koi Haath Milata Hy Tou Darr Lgta Hy
Ajeeb Hijar Parasti Thi
Us Ki Fitrat Main

Shajar K Tuutey Patty
Talash Krta Tha

Tamam Raat Wo Parde
Hata K Chaand K Saath

Jo Kho Gaye Wo Lamhe
Talaash Kerta Tha ...
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
wohi pyaar hai wohi aarzu wohi dil lagi wohi justaju,

per apne apne maqaam per kabhi tum nahi to kabhi hum nahi...
wisl ho ya firaq ho mohsin,

jagna sari rat mushkil hi..
ZakhAm GintAy Hain

khAwAb likhtAy Hain


Aao mil kr AzaaB LikhtAy hAin


Aao shAmAA Jala kAy yAdoon ki


ZindAgi ki kiTAAb likhtAy Hain.
Guzray Waqat Ko Bhula Dena Bhe Aasaan Nahe Hota
Ghamon Ko Hansi Men Chupa Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
Zaruri Nahe Ke Poori Ho Har Khahish Lekin
Apni Khahishon Ko Daba Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
Maana Ke Tootey Huey Phoolon Say Khushboo Nahe Aati
Magar Unhen Kitabon Men Sajaa Lena Bhe Asan Nahe Hota
Is desh mein pariyon ki kahani bhi khoob hai







bachche ko usne fir bhookha sula diya
Qissa abhi hijaab say aagay nahin barha...

Mein aap, wo, janab say aagay nahin barha...

Muddat huee kitaab-e-muhabbat shuru kiye...

Laikin mein pehlay baab say aagay nahin barha...

Lambi musafatein hain magar is swaar ka...

Paaon abhi rakaab say aagay nahin barha...

Logon ney sang-o-khisht k qilay bana liye...

Apna mehal to khawab say aagay nahin barha...

Tool-e-kalaam k liye mein ney kiye sawaal...

Wo mukhtasar jawab say aagay nahin barha...