Usay janay ki juldi thi
Mujhe us ne bataya tha
Mohabbat karne wale pyar main dhoka nahi karte
Jub koi baat karta ho usay toka nahi karte
Jisay janay ki juldi ho usay roka nahi karte
Unhi batoon batoon main
Mujhe ab yaad aya hai
Usay janay ki juldi thi
APNA PATA CHALE NA KHABAR YAAR KI MILEY
DUSHMAN KO BHI NA AISI SAZA PYAR ME MILEY
UNKO KHUDA MILE HAI JINHE KHUDA KI TALAASH
MUJH KO TO BAS EK JHALAK MERE YAAR KI MILEY
Uski Mohabbat Ka Tareeka Kuch Aur Hai
Kehta Wo Aur Hai Kerta Kuch Aur Hai
Jo Us Pe Beeti Hai Wo B Maloom Hai Mujhe
Jab Uss Se Pochta Hon Batata Kuch Aur Hai.
Sapne toot jate hai, apne rooth jate hai,Zindgi me kaise kaise mod aate hai, magar jab bhi saath ho aap jaise dosto ka, tow raaho ke kaante bhi phool ban jate hai
December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!