Hum jeetay har baazi

Hum jeetay har baazi
Hum jeetay har baazi tb hi to mashor ho gay,

tairay hansnay mai hansay to anso dor ho gay,

bus ek tuj jaisay dost ki bdolat,

aye dost hm kanch sy KOH-E-NOR ho gay
  

Jun, 07 2010     171 chars (2 sms)     2436 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ashq bahay to ahsaas hota hay,
Pyar k bina jeevan kitna udas hota hay,
Umar ho teri sitaron jitni lambi,
Aisa DOST kahan har kisi ke paas hota hay.
Tum is sheher se jaane lago to

meri aankhain lete jaana

safar mai koi saath rahe to

rasta jaldi kat jaata hai
mohabaton mai yehi khouf kyoun musallat rehta hai

mohsin...

kahin mere siwa kisi or se to mohabat nai usey...
meri nazmain, meri duniya
zindgi jaisi
uljhi uljhi , bikhri bikhri

meray misray aankhon jaise
gheray gheray
meri nazmain zulfoon jaise
uljhi uljhi, bikhri bikhri

meri muhabat meray jaise
pakiza si , nikhri nikhri
teri muhabat teray jaisi
uljhi uljhi , bikhri bikhri
Aaj kuch kami hai tere bagair,

na rang na roshni hai tere bagair,

waqt apni raftar se chal raha hai!

bus dharkan thami hai tere bagair,

na barish hai na dhuaan!

phir bhi dil mai tapish si hai tere bagair,

buhut roka hai baadal ko barsne se!

phir bhi aankhon mai nami si hai tere bagair....
mujhe ab b mohabat hai''

tere qadmon ki aahat se

teri har muskurahat se
teri baaton ki khushbu se.
teri aankhon k jadu se.
teri dikash adaaon se.
teri qatil jafaaon se.

''mujhe ab b mohabat hai''

teri rahon me rukhne se.
teri pulkon k jhukne se.
sehar o sham hathon pe tera hi naam likhne se.
Main Hoon Aur Afsurdagi ki Aarzu "Ghalib" k Dil
Dekh Ker Tarz-e-Tapaak-e-Ahl-e-Dunya Jall Gaya
cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii mein bhii vo baaten us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gaien
sher kahatii huii aankhen us kii

shoKh lamhon kaa pataa dene lagiin
tez hotii huii saansain us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahen jab apanii thii shaamen us kii

dhyaan mein us ke ye aalam thaa kabhii
aankh mahataab kii yaaden us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aandhiyaan merii bahaaren us kii

niind is soch se tuutii aksar
kis tarah kaTatii hain raaten us kii

dOor rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahen us kii,
"Vekh asman te urrde panchi, Na o karde rizq zakheera, na o Bhookkay marde ne,


Bandey hi karday rizq zakheera, Bandey hi bhookkay mardy nay".

"Bulleh shah
ub k na kerna uska zikar meri wafa ki mahfil main.

agar wo aye tu use kahna meri mahfil se door ja k roye.
Kisi Aur ko mErAy haal se nA Gharz hy nA koi wasta


mAin bikhAr Gaya hoon smait lo,mAin BighAr Gaya hon,sAnwAr Do
Meri Palkon Ki Chokhat Pey Basney Wale,

Shab-E-Tanhai Ke Mausam Main Barasne Wale,

Mere Aansu Mere Ehad-E-Wafa Ko Nibha Dete Hai,

Ik Tere Siwa Har Shakhs Ko Bhula Dete Hain.. !!