udaas honton pe

udaas honton pe
udaas honton pe muskurahat k phool aain to jaan lena..,

k dil k andar ki kuch udasi,bohat udasi main dhal rahi hai..
  

Jun, 07 2010     120 chars (1 sms)     3543 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kaifiyat mere ishq mein itni hai,
Door jaa jaaker bhi tu laut ke ayegi..!!

Nahi mitega mera saya tere ankho se,
Har ashq mein tu apne mujhe hi payegi..!!
Kaho tum tu ooper ooper se hi mil lete hein
Dosti aur pyar ko thora aur barha lete hein
Bas karo aik wahda Bass tum nah karo gey
Pyar kia hai tu judai meri ka samna karo gey
hichki qareeb hai jo mujhe mout se miaaye.

hun jis ka muntazir use aa jaana chaahiye
Bohut royi Hain shayad Aankhen Tumhari






meri khatir Aankhon mein Thora kajal laGa Lo
jo amtayaz sham-o-sahar se guzer gaye.
kuch ase hi muqaam nazar se guzer gaye.
apni tu hovi tumam kainaat-e-ghum.
du ashak thy jo dedaye ter se guzer gaye.
Ham Mohabbat Ki Numaish Nahi Kertay,
Ham Lafzon Ki Pemayesh Nahi Kertay,
Jissay Chahtay Hain Toot Ke Chahtay Hain,
Phir Kisi Or Ko Paanay Ki Khawahish Nahi Kertay.
mujhko too hosh nahi tumko khabar ho saayad






Loog kahte hain ke tumne mujhe barbaad kiya
Karo na Fikar agar wo Naraz ho jaye
Naraz hotey hain wohi jo Pyar kartey hain.../
Koi ehsaas bhi usko yaad nahy
Koi baat bhi usko yaad nahy,
Ek shaksh ny usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahy,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis may bheegay thay,
Wo barsat bhe usko yaad nahy,

Wo sahil,darya, phool,hawa,
Wo wada sath nibhanay ka,
Aur shab bhar CHAND ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahy,

Wo kehta tha may sunti the,
May kehti thi wo sunta tha,
Un lakhoon baton may koi,
Ek baat bhe usko yaad nahy.
Yun hi intezar karta raha or waqt dhalta raha
mere intezar ka sooraj her lamha pighalta raha

tay to yeh hua tha key payen gay aik hi manzil
beech rah main woh mukar geya soo-e-manzil main chata raha

kabi us key liye hans diye kabi us key liye ro diye
woh khud ko to na badal saka bus mujh ko he badalta raha

ab tak kaise chup raha yeh mut pooch Majid
waqt mujhay behlata raha or main behelta rah
muhabbat khud batatee hai kahan kis ka thikana hai
kisay ankhon mein rakhna hai kisay dil mein basana hai

riha karna hai kis ko aur kisay zanjeer karna hai
mitana hai kisay dil say kisay tehreer karna hai

ghironda kab girana hai kahan tameer karna hai
issay maloom hota hai safar dushwaar kitna hai

kisi ki chashm-e-giriya meain chupa iqrar kitna hai
shajar jo girnay wala hai woh saaya daar kitna hai

safar ki har saobat aur tamazat yaad rakhti hai
jissay saraay bhula dalain muhabbat yaad rakhti hai
Mere Ishq Ne Seekh Li
Hai Ab Waqt Ki Taqseem
"Faiz"

Wo Mujhy Bohat Kam
Yaad Aata Hy Sirf Itna
k Har Saans k Baad ..