Chandni se chamakti is raat mein,
ek khushboo si hai har baat mein,
hai sitaare mere kadmo ke tale,
Ek ehsaas hai aaj unki har aahat mein,
paas aake bhi kyu hein duriya,
koi pyasa hein kyu barsat mein.
wo chand chup gia mujhe raat sonp kar,
Aankhoon ko intezar k lamhat sonp kar,
Aik shaihas tha jo mujhy se bichar gia,
Aankhoon ko meri mosam barsaat sonp kar.
Wafa ruswa nahe krna,
Suno aisa nahe krna,
Main pehlay he akela hon,
Mujhe tanha nahe krna,
Bohat massrrof ho jana,
Tou socha nahe krna,
Bharosa bi zaroori hy,
Magr sab ka nahe krna,
Muqadar phir muqadar hy,
Kabi daawa nahe krna,
Jo likha hy wo hona hy,
Kabhi shikwa nahe krna,
Meri takmeel tm se hy,
Mujhe aadha nahe krna,
Haqiqat hy milan apna,
Isay sapna nahe krna,
Humain tm yaad rehty ho,
Humain bhoola nahe krna
khwab bankar aapke sapno me aayenge
khayal bankar yaado se guzar jayenge
palko ko band karke dil se yaad karna
tasveer bankar apki aankho me utar jayenge