Hussain Teri Taazeem Ja

Hussain Teri Taazeem Ja
Hussain Teri
Taazeem Ja-Baja Hogi

Yazeed Teri Tazleel
Barmala Hogi

Har Ek K Dil Pe Lagi Hy
Gham-e-Hussain ki Mohar

Agar Shikast Ye Hi Hy
Tou Fatah Kia Hogi ??
  

Jun, 15 2010     171 chars (2 sms)     2721 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

jo Ali [a.s] ka na hoa kab hamara hoga wo to buss katib.e.taqdeer ka mara hoga jannat mien janay se rokay ga bhala ko hamein jab payaray Muhammad [PBUH] ka ishara hoga matam-e-Hussain par aey fatway laganay walon hashar mien dekhna kya hashar tumhara hoga tazira AL-E-MUHAMAD [A.S] ka no jis mien WAQAS aesy mehfil mien kahan apna guzara hoga''''

Jabeen-e-Ibn-e-Ali Ki Niaaz Jari Hai

KHUDA K Deen Ki Umr-e-Draz Jari Hai

Sajde Me Rakh Ker Sir Ko Na Uthaya HUSSAIN Ne

Maire Husaain Ki Ab Tak Namaz Jari Hai . . .
Azmat k 4 Minaron k 4 Azeem Aqwal:
Insan Khud Azeem Nhi Hota Bal’K UsKa Kirdar Azeem Hota He,
Hazrat Abu Bakar Siddiq R.Z
Ghuse Ki Halat Men Insaf Krna Mushkil Hota he,
Hazrat Umer Farooq R.Z
Zindgi Ka Koi Maqsad Banalo Phir Apni Sari Taqat Us k Husool Pr Lagado Tum Zaror Kamyab Hojaoge,
Hazrat Usman Ghani R.Z
Jo Shakhs Tumhari Nigahon Se Tumhari Zarorat Ko Samjh Nhi Skta, Us se Kuch Mang Kr Khud Ko Shrminda Na Kro,
Hazrat Ali R.Z…
Jahan Me Tazkra
Shaan-o-Seher
HUSSAIN ka Hy

Zamana Dekh Ly Kitna
Asar HUSSAIN Ka Hy

Hy Karbala Jo 72
Gulo''n Ka Guldasta

Isy Sajany Me Sara
Hunar HUSSAIN Ka Hy
As''hab to Sabhi The Magar Waqt e Intiqal
Manga Tha Jab Nabi ne Qalam,Kyun Nahi Dya?
Bolay ye Intiqam Tha Khyber Ki Jang ka
Us Waqt Nabi ne Hamko Alam Kyun nahi dya ?
Hussain Teri Ataa Ka Chashma
Dilo''n K Daman Bhigo Raha Hy

ye Aasman Par Udaas Badal
Teri Mohabbat Main Ro Raha Hy

Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se
Tou Us Ko Kehta Hy Arsh Wala

Tu Aur Dheery Guzar Yahan Pr
Mera Hussain So Raha Hy ...
Kausar k Saaqi ka wo
Nawasa HUSSAIN tha

Karbala k dasht main
pyasa HUSSAIN tha

Baadal yazeediat k jo
pheley chaar suu

Un main chamakta ek
sitara HUSSAIN tha

Karta wo kese haath
pe bait yazeed k

Us waqt sab se
Arfa-o-aala HUSSAIN tha

Hilney Laga Tha
Arsh-e-ELAHI bhi Us Ghari

Jab Karbal Ki Rait Pe
Tarpa HUSSAIN tha

Pardes main Shaheed
jisay kr dia gaya

Wo MUSTAFA (S.A.W) ki
aankho''n ka Tara HUSSAIN tha
HAZOOR (S.A.W) NAY FARMAYA

MAIN HUSSAIN SAY HOON AUR HUSSAIN MUJ SAY HEY

HATOON-E-JANNAT SAY FARMAYA

AYE FATIMA HUSSAIN KO RONAY NA DIA KARO. JUB YE ROTA HEY TU MUJHAY TAKLEAF HOTI HEY


JIS DIN NAWAS-E-RASOOL KARBALA K MADAN MAIN SHAHEED HOWA HO GA US DIN HUSSAIN K NANA KO KITNI TAKLEAF HUI HO GI.
Khazanay ki jo zeenat ho usay ALMAAS kehtay hain
Tamana pani ki hoti hay toe PYAAS kehtay hain
Jahan peety jain sub pani usy kehtay hain sub darya
Jo darya ko pilata hoo usay ABBAS (A.S) kehtay hain!
Wo Jis Ka Mansab
Hi Tha Imamat

Tou Lehja Kitna
Mateen Hoga

Khuda Ny Masoom
Jo Banaya

Wo Ismato''n Ka
Ameen Hoga

Lab-e-Sarwar,
Lahuu Ali Ka

Batool Ki Gaud,
Husn-e-Shabbar

Ye Sari Cheezai''n
Mila k Socho

"HUSSAIN" Kitna
Haseen Hoga ...
Khanna e rab me imamat ka ka ujala utra
daikh kar shahkle ali chand ka chehra utra
Aaj bhi kaabay k chaker me hy masroof jahan
Ajj tak mola ali taira na sadqa utra

Sadaqaton ki nishani hussain hay
duniya me inqilab ka bani hussain hy
dushman ko jis nay apney lahoo say shikast di
Woh mard e haq woh haider e sani hussain hay

para''ey des main bhi apni seekhoon dhoond letay hain
Ali waalay Ali waalon ki khushboo soongh letay hain
naajanay musalmaanon ko nazar kiyun nahin aatay
fazaail to meray Maula k hindu dhoond letay hain