Zikre-e-Shabbir Dhamakon sey Dabaney Waley
Kitney Nadaan hain Shion ko Daraney Waley
Ghaib sey aati hai ya Sada-e-Mehdi (AS)
Zikre-e-Shabbir Karo hum ney bachaney waley
Ali(a.s) ke dar pe jo aata hay wo jaata nahain khali.
Ke is dar se hi hoti hay sab hi ki door bad hali.
Ali (a.s) pyar kitna hay meray Allah ko dekho.
Ali (a.s) ke dushmano ko dekh ke dozakh bana dali.
Aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
Aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me
Ab is se barhke kya hai Fazilat HUSSAIN kee,
Jahan kar raha hai Midhat HUSSAIN Kee,
Hum lege Karbala ke Shahidon Ka Inteqam Mahshar me,
Jab lagegi adalat HUSSAIN kee.
NABI-E-PAK (SALLALLAH-O-ALAIH-E-WASALLAM) NE FARMAYA:
"logon per 1 zamana aye ga ke un ka maksad un ka pait ho ga, dolat
unki essat ho gi, aurat un ka kibla ho gi, rupeya un ka deen ho ga,
aur wo bad-tareen log hon gy, aur akhrat main un ka koi hisa nahi
ho ga.