Maqtal Mai Dono

Maqtal Mai Dono
Maqtal Mai Dono Hath Kataney Ke Bawjood...... Abbas Tere Hath Mai Bazi Hai Aaj Tak..... Tune Badal Ke Rakh Diyea Mana Hayat Ke...... Tu To Shaheed Hoke Bhi Ghazi Hai Aj Tak
  

Jun, 15 2010     173 chars (2 sms)     2673 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
Aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me
aa aa ke zalzaloon ne musalsal zameen per
ASGHAR(a.s) tumhari qabar ko jhula bana dia
Karbala Walon Ka Gham Ghar Ghar Main Manaya Jaye Ga

Maqsad-e-Shabeer Aalam Ko Bataya Jaye Ga

Yaad Ker K Jo na Roya Karbala Walon Ki Pyaas

Qabar Se Tishna Wo Mehshar Main Uthaya Jaye Ga
Quraan kay kalaam ko saheefa nahin kehtay
Sanjeeda hakeekat ko Lateefa nahin kehtay
Ham Dushman e Haider ko Shariat ki lughat main
kuch orr to kehtay hain Khaleefa nahin kehtay
Maut K Darya Main Har Ek Khushk-o-Tar Reh Jayega
Haan Faqat Naam-e-Hussain Ibn-e-Ali Reh Jayega . . .
Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se
Tou Us Ko Kehta Hy Arsh Wala

Tu Aur Dheery Guzar Yahan Pr
Mera Hussain So Raha Hy
karbala ko karbala k shensha pr naz hai.us NAWASE pe MOHAMMAD MUSTAFA S.A.W ko naz ha.yun to lakhon ne sajde kiye pr"HUSSIAN"ne woh sajda kia jis pe KHUDA ko naz ha.
Nazar Gum hai Nazaro Ko Badi Takleef Hoti Hai
Baghair unke nazaro ko Badi Takleef Hoti Hai
Nabi Kehte The ye Aksar Ke Aksar Zikr e Haider Se
mere Kuch Jaan Nisaro Ko Badi Takleef Hoti hai
Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein
to dil anjaam say andha ho jata hai
Hazrat Ali (A.S)
Farsh-e-aza jahan may bichatay rahenge hum,
paigham shah-e-din ka sunatay rahengay hum,
Pyasay Hussain(a.s) pyasiSakina(a.s) k naam per,
dushman b ho to pana pilatay rahenge hum..
Selaab Dekhta Hoon Tou Hota Hai Ye Gumaan

Paani Phirta Hai Talash-e-Hussain Main . . .
Jis ne tmhare sath burayi ki ho,
uske sath tum ehsaan kar k uska badla de do,
kyun k ehsaan bad-zubaano ki zubaan band karta he.!
Hazrat ALI (R.A)