Apnay Dukhoon mein aya jo SHAHBIR(A.S) ka khayal
Shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya
Har ghum mein KARBALA ne sahara diya humay
Har ghum GHUM e HUSAIN(A.S) mein tehleel ho gaya
Tareekh me duniyaTareekh me duniya ki wahid yehi manzar hy
Hansta huwa bacha hy roota huwa lashkar hy
Kya jang karun me insay Abbas e Jarii boley
In shaam ki foojon pe bhari maira Asghar hy
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
mairey imam say behtar koi imam nhn
yeh woh qalam hy jis say behtar koi kalam nhn
woh khush naseeb hy jo hy ghulam e haider
woh badnaseeb hy jis k ali imam nhn
Aye mavia mardood tu naakaam hogaya
Duniya main zikre Aal-e-Nabi aam hogaya
Meray Hussain per hain Durodon ki barishain
laanaaat teray yazeed ka anjaam hogaya
Mana Ke ye As''hab Aqeedat Ke Nishan The
Tasleem Kia Ahmed e Mursal Ki Ye Jaan The
Namoos e Sahaba Ke Khateebo Se Ye Poocho
Ye Log Muhammad (SAWW) Ke Janazay Me Kaha The?