ALI (A.S) ka naara

ALI (A.S) ka naara
ALI (A.S) ka naara sada lagana
jihad e akbar say kum nahi hain
hamaray seenay per daag-e-matam
nishan-e-haider say kum nahi hain
  

Jun, 15 2010     132 chars (1 sms)     2480 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein
to dil anjaam say andha ho jata hai
Hazrat Ali (A.S)
Ajab Shan Hy Hussain Tmhare Lashkar Ki
Kahan Se Dhoondh K Lain Misaal ASGHAR Ki
Sitara Ab B Fajar Ka Udaas Hota Hy
Sunai Deti Hy Ab Bhi Azaan Akber Ki..
Phir Aaj ''''HAQ'''' K Liye Jaan Fida Kare Koi

Wafa Bhi ''''JHOOM''''Uthe Yun Wafa Kare Koi

Namaz ''''1400 Saalon'''' Se Intizar Main Hai

''''HUSSAIN'''' Ki Terha Mujh Ko Adaa Kare Koi . . .
Allah woh bhi waqt zamaney me laye ga
Dhonday say bhi nishan na batil ka payega
Khamosh is tarhan say jo rahey gi Kitab e Haq
Duniya me bolta huwa Quran Ayega


Marhab-e-waqt ko jiss teer say dar lagta hai
Run mei us teer ko baysheer(a.s) say dar lagta hai
Pay-e-Abid(a.s) mei pehnayee thee jinhon nay zanjeer
Unki aulad ko zanjeer say dar lagta hai

Submited in : In Honour Of Hazrat Hussain

Characters : 198 | Sms Length : 2

Submitted By K|-|AD!M From khi ( 0332-3160854 )
Kala Kala Na Kar Zeada Waiz
Jo Kehta hoo Ghaur Se Sunle
Gar Aaj Gham e Hussain Me Na Roya
To Kal Mehshar Me Girgirana parega
Ghum-e-Shabir(A.S.) may Ankho say jo AANSO barsay

Aisay Gohar Hain k Jis k liyee Kausar Tarsay
Karta hun mein jis se bar baar TAUBA,

Elahi mujhse wohi KHATA kion hoti hai,

Banatay to hain hum apne haton se MASJID,

NAMAZ apni hi phir QAZA kion hoti hai..
Jaam rag rag mein kamino ka laho ho jae
dard ke mare zamane se rafoo ho jae
Aal-e-Ahmed(A.S) se jala karte hein jin ke seene
mere Allah unhein "Bird Flu" ho jae
Woh Jo Rangeen Hua Khoon-e-Shabbir(a) Say
Aasmaan Se Bhe Uncha Woh Parcham Karo
Karbala Say Yehi Aarahi Hay Sada
Zindagi Chahtay Ho To Matam Karo
Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke Safar Ki Hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur Hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai
Ashoor ka dhal jana, Sughra(A.S) ka wo guzar jana,
Akber(A.S) teray seenay main, berchi ka utar jana,
Aye khoon-e-Ali Asghar(A.S) medan-e-qiamat main,
Shabir(A.S) ke chehray per kuch aur nikher jana,
Sajad(A.S) yeh kehtay thay, masoom Sakina(A.S) se,
Abbas(A.S) ke lashay se chup chap guzar jana,
nanhay se mujahid ko man nay ye nasihat ki,
Teeron ke muqabil bhi, bay khauf-o-khatar jana,
Ali ko rulaye ga ta hashr lahoo aksar
Zahra(AS) teri kaliyon ka sehra main bikhar jana