Jo Na Pekar-e-Mawaddat

Jo Na Pekar-e-Mawaddat

Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga
  

Jun, 16 2010     166 chars (2 sms)     2873 views       Islamic

more Islamic SMS Messages


Zamane-e-Karbala Ka Kehna Kia

Faqt Zulm Ki Intiha Lekin HUSSAIN Ka Nara Kia

Dastan-e-Ajeeb Hai Khoon Ki Sitam Ki

Panjtan Kafi Karbala Ki Zameeno’n Ka Kehna Kia
Ghafil tujhy gharyal ye deta hai mnadi
gardoon nay ghari umer ki teri ek or gtadi
jagna hai tu jaglay aflak k saya talay
hashar tak soya rhy ga khak k saya talay.
Manaoo jashan k kaabay me Ali arahey hain
Khudda k ghar say botoon ko bhaga rahey hain
Dewar e kabba nay haans k kaha khudda ki kasam
Mujhey Ali tawaaf k qabil bana rahey hain
Masroof zindagi Namaz ko mushkil bana deti hai..

Leki....

Namaz masroof zindagi ko Asaan Bana deti hai.
Kadurat Ho To Sachi Baat Bhi Mani Nahi Jati
Ke Chashme Toor Tak Suraj Ki Tabaani Nahi Jati
Ab Itna Bhi na Apne ko Bigaro Bugze HAIDER Me
Ke Khud Tumse Tumhari Shakl Hi Pehchani Nahi Jati
Zikar-e-Shabbir (A.S) ko Dhamako se dabanay walay,

Kitne nadan hain SHIYON ko daranay walay,

Ghaib se aati hai ab bhi yeh sada-e-Mehdi (A.S)

Zikar-e-Shabbir karo HUM hain bachanay walay..

**SALAM YA HUSSAIN A.S**
Gulzar e shujat ki dil awaiz kali hy
jano dil e hyder hy wali ibne wali hy
Shabbir muhammad hyn agar waqt k apney
Abbas e jari apney zamaney ka Ali hy
ALI (a.s) Wali bhe hai or ALI (a.s) Asool bhe hai
ALI (a.s) Imam bhe hai shoher-e-Batool (s.a) bhe hai
Agarchay YA ALI (a.s) kehna haram Mazallah!!
To is Gunnah may shamil tera Rasool (a.s) bhee hai
Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge

Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
Ghar se nikalne se pehle 7 times
YA HAFEEZU,
YA RAQEEBU parhen.

ALLAH TALA apko apni panah mein rakhega.
Wo Jis Ka Mansab
Hi Tha Imamat

Tou Lehja Kitna
Mateen Hoga

Khuda Ny Masoom
Jo Banaya

Wo Ismato''n Ka
Ameen Hoga

Lab-e-Sarwar,
Lahuu Ali Ka

Batool Ki Gaud,
Husn-e-Shabbar

Ye Sari Cheezai''n
Mila k Socho

"HUSSAIN" Kitna
Haseen Hoga ...
Khazanay ki jo zeenat ho usay ALMAAS kehtay hain
Tamana pani ki hoti hay toe PYAAS kehtay hain
Jahan peety jain sub pani usy kehtay hain sub darya
Jo darya ko pilata hoo usay ABBAS (A.S) kehtay hain!