Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
Jis ne Mun Mora Mushkil Kusha Se
Door Hogaya Phir WO Khuda se
Jis Ki Wabastagi Hi Nahi Hai
Ab Bhi Darwaaza e Sayyida Se
Dehr Me Darbadar, Zindagi Bhar
Thokerain Yuhin Khata Rahega
RASOOL ALLAH ne frmaya: "ALLAH TA'ALA frmata hai: mai ne apne naik bando k liye wo Jannat bnai hai jise ksi aankh ne nahi dekha, jis k baare me ksi kaan ne nahi suna or ksi insaan ka zehan us k baare me soch b nahi ska (k wo kesi hogi)." MUSLIM Volume 3 Kitabul Jannat Chapter 1007 Hadis 7003 SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM. *ISLAH MISSION*
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Kisi bhi Bazm-e-Mahfil main jana Ali Ali kahna
Wajood apna batana to Ali Ali kahna
Farishte tum se karain jo sawal Turbat main
Koi jawab na denaa Ali Ali kahna
Khushi ki bazm main bhi ghum talaash kertay hain,
Dil-e-BATOOL s.a ka marhum talaash kertay hain,
Maza mila hay aazaa-e-HUSSAIN a.s se itna,
Hum eid main bhi muharram talaash kertay hain