Zikre-e-Shabbir Dhamakon sey Dabaney Waley
Kitney Nadaan hain Shion ko Daraney Waley
Ghaib sey aati hai ya Sada-e-Mehdi (AS)
Zikre-e-Shabbir Karo hum ney bachaney waley
Khush na Hamse Dushman e Haider Hua,Acha Hua
Dushman e Haider Ka Hamse Dil Jala, Acha Hua
Hogaya Nazdeek Mujse Rab Mera Ayy Doston
FATIMA ke Dushmano Se Fasla, Acha Hua
Zameen E Haq Pe Hasad Se Shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba Ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay
Ae Allah! Aisa na ho ke Aazmaaishein mujhy gumraah kr dain Tu mere jism meri Rooh mere dil ko Pak kr de Ye zindagi meri duniadari main uljhi hai Jesa tu chahta hai Ab mjhy wesa kr de mere hr faisly main Teri Raza ho shamil jo tera Hukam ho wo mere Irada kr de.....(Ameen)