ZANJEER TOOT JAYEGE

ZANJEER TOOT JAYEGE
ZANJEER TOOT JAYEGE KEHTE HE YA ALI(as)..

DARBAAR DEKH LEGA MUKHTAAR KON HAI.

ABID(as) KA WO JALAL THA DARBAR-E-SHAAM ME

HAKIM YE POOCHTA RAHA BEEMAR KON HAI.
  

Jun, 16 2010     168 chars (2 sms)     2433 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Ek Din Barray Ghroor Se Kehnay Lagi Zameen
Aya Meray Naseeb Mein Parchum HUSSAIN Ka.!!

Phir Chand Ne Kaha Mere Seenay K Daagh Dekh
Hota Hai Aasmaan Pe Bhi Maatam HUSSAIN Ka.!!
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABBASS ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
aale nabi ka zikr tha jin wakiyaat main
who wakiyaat miltey nahin hai Deeniyat main
jin par fakeer bheek bhi mangtey nahn
woh naam shamil hogaye islamiyat main
So Baar Legaye, Sare Baazar Muflisi
Har Baar Mene Apna Aqeeda Bacha Lia
Mene Parhi Thi Apni Hifazat ke Waste
Naad e Ali ne Sara Ilaqa Bacha Lia
10s
Muharm''ul''Haram
Ko Gusl Kare
To Tmaam Saal
Insha ALLAH
Bemaryon Se
Aman Mein Rahe
Ga Q-K Es Din
Aabe Zam Zam
Tmaam Paniyon
Mein Pohnchta
Hai.

Tafseer
Rooh
ul
Byaan
Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge

Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
Sun le Ye Ghaur Se Waiiz
Tu Kia, Tere Baap Ko Bhi
Jaiye Wiladat E Ali Par
Apne Sir Ko Jukana Parega

para''ey des main bhi apni seekhoon dhoond letay hain
Ali waalay Ali waalon ki khushboo soongh letay hain
naajanay musalmaanon ko nazar kiyun nahin aatay
fazaail to meray Maula k hindu dhoond letay hain
aa aa ke zalzaloon ne musalsal zameen per
ASGHAR(a.s) tumhari qabar ko jhula bana dia
Saja rakhi thi darya par ajab baraat pani ki
Bahut kerte the Ashrare yazidi baat pani ki
Magar sahil pe pahonche thokarain marien chale aye
Bata di Hazrat-e-Abbas ne Auqaat pani ki.
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai