Kuch barhami hai zara is noor-e-ain main
Milta hai iztiraab yunhi dil k chain main
Selaab dekhta hoon tou ata hai ye khyal
Pani bhatak raha hai talash-e-HUSAIN main
Jis shakhs ke bhaijay main likha NAAD-E-ALI(a.s) hai
oos shakhs ki FIRDOOS talak call free hai
Be HUB-E-ALI(a.s) call jo ALLAH se milay gi
Awaaz yehi aye gi Network busy hai
Betho Nabi(saww) ka pass jo farman chahiye
jao Ali(as) ke pass jo emaan chahiye
awaz de raha hai jahan ko mah-e-sayam
Zahra(s.a) kay ghar main aao jo quran chahiye
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.