Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
pyar aur dosti me itna fark paya hai,
pyar ne sahara aur dost ne saath nibhaya hai,
kis rishtey ko gehra kahu,
EK ne jindagi di hai to DUSRE ne jina sikhaya hai.
Zamane se kab ke hum gujar gaye hote,
thokar na lagi hoti bach gaye hote,
bandhey the to bas tere dosti ke dhage mai,
warna kabke motiyo jaise bikar gaye hote..