Surkh ankhon say wo jab hamein dekhtein hain
Hum gharbra kar ankhein jhuka letay hain
Kaun milay un ankhon say ankhein
Suna hai who ankhon sa apna bana letay hain
Woh
Bade faqr se kahti hai
Yeh khoobsurat nasheman
yeh cars ki fleet
Yeh malbusaat ki chamak damak (Kapde)
Meri apni kawish hai
Zindagi ki
Saree ra’naiyaan
Yeh aasaish
Kisi ki marhoone minnat nahin
Zindagi main koi ehsaan ka
Lamha nahin
Main khud main bilkul mukammal hun
Oonchi kursi per baith ker
Na jane kitni zindagiyoon ko
Sawarti aur bigaadti hun
Lekin
Is ke Bawajood
Aik Mazboot
Aur Mustahkam
Saahare ki justujoo main
Uski aankhain neend ko
Tarasti hain!
TRUST is a very important factor for all relationships.
When trust is broken, it is the end of the relationship.
Lack of trust leads to suspicion,
suspicion generates anger,
anger causes enmity and enmity may result in separation.
Rab ne "Maa" ko ye azmat-e-kamaal di,
Uski dua pe aayi musibat taal di,
Quran ne "Maa" k pyar ki is tarah
misaal di,
k
Jannat utha k "Maa" k qadmon me daal di..