Koi Na Melay To Kismat Se Ghila

Koi Na Melay To Kismat Se Ghila
Koi Na Melay To Kismat Se Ghila Nhi Krty,

AkSr Log Mel Kr Bi Mela Nhi Krty,

Har Shaakh Par Bahaar Aati Hy Zaror,

Par Har Shaakh Pr Phool Khila Nhi Krty,
  

Feb, 18 2011     155 chars (1 sms)     2844 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Aaj us ne Meri Mohabbat main Kisi ko Shareek kia to Ehsas hoa
...........Ya Rab.............
K tu Shirk krnay walon ko Muaaf ku nahi krta
Kaise Batau Use,


Nahi Isme Koi Meri Khata,


Khel Hai Ye Sitaron Ka,


Ye Chand Tu Use Bata;


Bandish Hai Ye Fizao Ki,


Aa Maangle Khuda se Ek Umar Duao ki
Milti bhi apko fursat kesy.

Yaad ati bhi meri surat kesy.

Puch unse jo bichar jate han.

Tut parti ha qyamat kesy.

Ab to sab kuch hi mayssar ha

Ab tujhe meri zarurat kesy.

Tujhse ab koi talluq hi nahi

Tjhse ab koi shikayat kesy.

Kash humko bhi bta de koi

Log karte han mohabat kesy _;
"Har koi hamain pane ki zid mein hai"

"Shayad koi aazmane ki zid mein hai"

"jisse chahte hain hum itni shiddut sey"

"Woh hamain bhulane ki zid mein hai
Usay kehna usay hum yad kartay hayn,Diyey jeb shaam ki dehleez pe jalaye jatay hayn,Sitaray aasman pe jeb timtimatay haynShabnam k aanso se phool jeb nahatay hayn,Hum us dem apni aankhon mayn usay abad kartay hayn,Usay kehna usay hem teb yad kartay hay.
Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho

Ye Kinaron Se Khelne Wale
Dub Jayen To Kya Tamasha Ho

Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai
Ham Batayen To Kya Tamasha Ho

Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par
Muskurayen To Kya Tamasha Ho

Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham
Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho

Waqt Ki Chand Satein ‘Sagar’
Laut Ayen To Kya Tamasha Ho.
Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
magar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye waqt mushkil tareen hai na
suno!
main majboor ho gaya hooN
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
Duniya Me Jeene Ki Chahat Na Hoti
Agar Khuda Ne Mohabbat Banayi Na Hoti
Log Marne Ki Aarzoo Na Karte Agar
Mohabbat Me Bewfai Na Hoti
Tumse door rehkar tumhe MISS kiya hamne...Tumhare liye God se WISH kiya humne...Tumhari YAAD jab ayi to bade pyar ke sath SMS kiya hamne....
MerAy nAseeB ka

''''AwarA Badil''''


TamAm shehAr pAr bArsa merAy Ghar k siwA
December ki shab-e-aakhir na poocho kis terha guzri
Yehi lagta tha her dam woh hamein kuch phhool bhaijey gaa