Qatil

Qatil
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi ‘Mohsin’ Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi
  

Oct, 05 2011     474 chars (3 sms)     3521 views       Sad

more Sad SMS Messages

Ankhe kyon hui meri num kabhi
sochna,
kyon hua hum pe itna sitam kabhi
sochna,
pyar to hum dono ne kiya tha,
lekin sirf mujhe he kyon mila itna gum kabhi sochna.
Sab K Hote Hue Bhi Tanhai Milti Hai

Yaado Mein Bhi Ghum Ki Parchai Milti Hai

Jitni Bhi Dua Karte Hain Kisi Ko Panay Ki

Utni Hi Ziyada Un Se Bewafai Milti Hai
Kuch Na Kehna
Chup Chup Rehna
Ye b Ek Udasi Hy.
Hans k Saray Sadmay Sehna
Ye b Ek Udasi Hy.
Bethay Bethay Kho Sa Jana
Yun Hi Dur Khyalon Main.
Chalte Chalte Hanste Rehna
Ye b Ek Udasi Hy.
Maar k Kankar Lehrain Gin'na
Beth k Jheel Kinaray Pr.
Kuch Logon Ka Hy Ye Kehna
Ye b Ek Udasi Hy…
youn hium ko satany ki zarorat kia thi
dil mera toor k jany ki zarorat kia thi

jo nahi tha ishq to keh diya hota
humein youn aazmaney ki zarorat kia thi

maloom tha gehray khuwab toot jayn gay
neend mein a kar jagany ki zaroorat kia thi

maan loon ager ye yak tarfa mohaabat thi
mujhe dekh kr pher muskarany ki zaroorat kia thi

jo hum na thy tumhary qabil-e- nazer
tu muj ko mohabat sikha kr thoker laganey ki zaroorat kia thi
Jinko Sooraj Meri Chokhat Se Mila Tha Yaaro,

Ab Woh Khairaat Mein Dete Hain Ujaalay Mujhko. . .*
kiya likhon tery naam sajan
tuje sochon subho sham sajan
tm neeli jheel ka pani ho
mohobbat ki ek kahani ho
tm pyar ka meethe bol ho
tm hr ek se anmol ho
tm aasman ka badal ho
tm mari aankh ka kaajal ho
tm mere mann ki jeet ho
mere labon ka geet ho
tm chaman me khilta gulaab ho
chahat se likhi kitaab ho
tm mere liye mere sanam ho
jo toot na sake wo kasam ho
kiya likhon tery nam sajan
tumhe sochoun subho shaam sajan
Guzar jayege aapke pas se hawa
bankar,
beh jayege ankho se aansu bankar,
aaj to aapke pas fursat nahi,
yaad karoge jab reh jayege dil ki yaad
bankar
Tanha zindagi mai chal rahi hon to kya howa
Ay dost
Janazy main hoga sara shaher dekh lay na
Saara din lag jata hai khud ko sametne
mein
.
.
.
. Phir raat ko unki yaadon ki hawa
chalti hai
aur hum phir bikhr kar reh jate hai.
Jaanay kub kon kisay maar day kaafir keh kar
Shehr ka shehr musalmaan huwe phirta hay
Manzelain bhi uski thi, rasta bhi uska tha
Ek mai akela tha qafila bhi us ka tha
Sath sath chalney ki soch bhi uski thi
Phir rasta badalny ka faisla bhi uska tha
Aaj kion akela hon, Dil sawal karta hai
Log tu usi ke tay, kia Khuda bhi uska tha
Kabhi shikaston ka dukh uthaye to us say pochon,
Woh meri manind toot jaye to us say pochon,
Usey bhi koi sitara manzil say door kar day,
Usey bhi koi rasta nazer na aey to us say pochon,
Safer main woh bhi kisi karey imtihan say guzrey,
Usay bhi koi yun azmaye to us say pochon,
Meri tarhan din charhey woh bhi soye salik,
Usey bhi raat bher neend na aye to us say pochon.