Mitti K Ghar

Mitti K Ghar
matti ke jitne ghar main banata chala gaya
ik shaks khafa ho ke girata chala gaya
woh mujse buhat door door bhagta raha
jitna main uske naaz uthata chala gaya
ik mere waste he osne dard rakhe the
baki to wo har ik ko hasata chala gaya
thi haath main taqat magar dil nahin mana
uske siwa main subko harata chala gaya
dil main oski yaaad ke jitne chiragh the roshan
onko bhi wo sitmgar bhujata chala gaya
  

Jan, 17 2012     402 chars (3 sms)     4115 views       Sad

more Sad SMS Messages

qareeb maut khari hai zaraa thahar jao
qazaa se aankh lari hai zaraa thahar jao

thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
bari udaas ghari hai zaraa thahar jao

nahin ummeed ki ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kari hai zaraa thahar jao

abhi na jao ke taaron kaa dil dharaktaa hai
tamaam raat pari hai zaraa thahar jao

phir is ke baad kabhi ham na tum ko rokenge
labon pe saans ari hai zaraa thahar jao

dam-e-firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii ghari hai zaraa thahar jao X
When You Are In Light,

Everyone follows you.

But

When You Are In Dark,

Even Your Shadow Leaves You.

This Is Life
Badalti rut ka ishara dekhte hain

Ab kaise ho ga guzara dekhte hain

Muhabbat ki yeh rasam bhi kitni ajeeb hai

Jaane wale palat kar dobara dekhte hain

Doobne waale doobne se zara pehle

Aik ummeed par kinara dekhte hain

Teri Khudaai se gilah hone lagta hai

Jab duniya men koi be-sahara dekhte hain

Kya muhabbat hamain bhi raas aaye gi
"Sajid"

Aao apna apna sitara dekhte hain.
kitny anmool hoty hain ya mohabbt k risty b
taluq toot b jaye tu chahat pher b rehti hai
Jis ke liye sab kuch luta diya humne,
wo kehte hai unko bhula diya humne,
gaye the hum unke aansu pochne,
ilzam de diya ki unko rula diya
humne.
Hamdardiyan, Khuloos, Dilasey, Tasalliyan..!

Dil Tootney Ke Baad Tamashey Bohat Hoye...!!
anchal tari yadoon ko bhigo deti hai barish
socho py jamii gard ko dhoo gati hai barish

hans hans k sunati hai jahan bhar k fasany
pocho mey jo tera bary mey tu ro deti hai barish

lagty hain pyare mari ankhoon ko yeh manzer
yadoon ki mahak ho ya tere hijar k tanay
chup chap main rakh leta hoon jo deti hai barish

muj par to jo karti hai so kerti hai inayat
moti tera baalon mein piro deti hai barish
Kia tha maine osse saccha pyar
Kia tha maine oska intizar
Kia tha maine osse wada
kia itna kamzor tha mera pyar
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi
Khaas they kabhi nazroon mein kisi k hum bhi shayad,
Magar nazron k taqazay badalney mein dair kahan lagti hai
Manzil bhi us ki thi,Rasta bhi us ka tha
Ik mein akela tha,Kafila bhi us ka tha
Sath sath chalny ki soch bhi us ki the,
Phir rasta badalny ka faisla bhi us ka tha
Aaj ku akela hoon,Dil sawal karta hai
Log to us k thy,Kia khuda bhi us ka tha,
Wahi Ranjshein,Wahi Hasrtein
Na hi Dard-E-Dil Mein Kami Hui

Hai Ajeeb See Meri Zindagi
Na Guzar Saki,Na Khatam Hui