Leta tamaam kaam woh apy WALI se hai,
Nisbat har ek IMAM ko NOOR-e-JALI se hai,
kul ikhtiyaar se diye HASSAN O HUSSAIN ko,
Deta KHUDA zroor hai milta ALI se hai.
Tareekh me duniyaTareekh me duniya ki wahid yehi manzar hy
Hansta huwa bacha hy roota huwa lashkar hy
Kya jang karun me insay Abbas e Jarii boley
In shaam ki foojon pe bhari maira Asghar hy
Humse Kehte Hein K Biddat He Maatam Daari
Khud Tere Jism Se Aawaz E Bbuka Aati He
Dil Dharhakne K Tawaazun Pe Zara Ghor Kar
Tere Seene Se Bhi Maatam Ki Sada Aati He.
Jab Subha Utho to Kalma Tayyba Parho Kyon k Marne k baad jab Qabar Mai Farishte Hum Se sawal jawab karne Aengay or humain Utthaengy or Pochhengy K tumhara RAB kon Hai? Tumhara DEEN kya hy?
To hum Apni Aadat k mutabiq Kalma Tayyaba Parte Hue Utthengy Or Kalma Tayyaba Mai He un Farishton k Sawalon k Jawab Mojod Hen.
Farsh-e-aza jahan may bichatay rahenge hum,
paigham shah-e-din ka sunatay rahengay hum,
Pyasay Hussain(a.s) pyasiSakina(a.s) k naam per,
dushman b ho to pana pilatay rahenge hum..
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein