Manzelain bhi uski thi, rasta bhi uska tha Ek mai akela tha qafila bhi us ka tha Sath sath chalney ki soch bhi uski thi Phir rasta badalny ka faisla bhi uska tha Aaj kion akela hon, Dil sawal karta hai Log tu usi ke tay, kia Khuda bhi uska tha
yeh duniya hai yahan pey yeh tamasha ho b sakta hai abhi tu gham humara hai tumhara ho b sakta hai Na ye samjo k tum hi akhri uski mohabbat ho mohabbat juram hai usey dobarra b ho sakta hai tera milna bichar jana bichar k pher mil jana humesha ki judai ka ishara ho b sakta hai Tum apny ap ko hrgiz koi ilzam mat dena ye soda hai mohabbat ka khasara ho b sakta haiii