Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
Har ibadaat hay meri yad e ali k saye me
kat rahi hy zindahi aulaad e ali k saye me
Moot khud mamoor hy meri hifazaat k liye
har ghari rehta hun main nad e ali k saye me
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Wafa ko naaz hai jis par usay Abbas(AS) kehte hein
Lagay jo Saani-e-Haider(AS) usay Abbas(AS) kehte hein
Alam patthar pe jo gaaray usay kehte hein sab Haider(AS)
Alam gaaray jo pani par usay Abbas(AS) kehte hein