Hussain (R.A) Teri Ataa Kaah Chashma Dilo’n K Daman Bigho’n Rahaa Hai Yeah Aasman Par Udaas Badal Teri Muhabbat Me Ro Raha Hai Sabaa Be Joh Guzre Karbalaa Say Toh Usay Kehta Hai Aarssh Wala Tu Aur Dheere Guzaar Yahan Mera Hussain Soo Raha Hai
Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein
Allah woh bhi waqt zamaney me laye ga
Dhonday say bhi nishan na batil ka payega
Khamosh is tarhan say jo rahey gi Kitab e Haq
Duniya me bolta huwa Quran Ayega