In Sochti Ankhon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Lamhay Ko Jo Mein
In Mein Dekh Loon
To Dobnay Lagta Hon
In Naraz Rawion Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Saniay Ko Jo Mein
In Per Ghor Karon
Tu Bhataknay Lagta Hon
In Kuch Kehtee Adaoon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Pal Ko Jo Mein
In Mein Khoo Jaon
Tu Bhaknay Lagta Hon
Dil ke bazaar main daulat nahi dekhi jati,
Pyar ho jaye to surat nahi dekhi jati,
Ek hi insaan pe luta do sab kuch,
Kyonki pasand ho cheez to keemat nahi dekhi jati…..
Sunte hai ki mil jati hai har cheez dua se,
Ik roz tujhe bhi mang kar dekhenge khuda se.
Duniya bhi mili hai ghame duniya bhi mila hai,
Woh kyun nahi milta jise manga tha khuda se.
aaj hum unhe bewafaa bata kar aaye hai,
unke khato ko pani mein baha kar aaye hai,
koi nikaal kar padh na le unhe,
isliye pani mein bhi aag laga kar aaye hai