aarzoo chaand ki

aarzoo chaand ki
aarzoo chaand ki nhe mohsin....

mein mitti ka hi diya hota...!!
  

May, 27 2010     67 chars (1 sms)     2580 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ishq woh Dariya hai jiska SAHIL nae hota
Har dil Ishq ke kabil nae hota
Rota woh bhi haijo DUBA is ishq me
Aur Rota woh bhi hai jise Ishq hasil nae hota
Ab k Mujh Ko Dekh K Wo Dekhta Reh Jayega

Is Qadar Badlainge K Sochta Reh Jayega

Mere Chehre Pe Bhi Honge Be-rukhi K Zawiye

Aisa Hy k Wo Mujh Main MujhKo Dhundta Reh Jayega

Ab K Us Ki Gali Se Mera Guzar Mumkin Nahi

Apne Ghar Ki Khirkio''n Se Wo Jhankta Reh Jaye Ga

Kyun Aansuo''n Ki Dhuul Main Zindag Jhonk Doon

Dil Ka Kia Hy Ye Tou Tuta Raha Hy Aur Tuta Reh Jaye Ga
Ishq mein yeh anjam paya hey
Hath paon totay munh se laho aaya hey
Hospital pohanche to nurse ne yeh farmaya





BAHARO PHOOL BARSAO MERA MEHBOOB AYA HEY
Na mila dil ka
Qadardan is Zamaney mein

Yeh Sheesha
Toot gaya dekhney aur Dikhaney mein

Sochta hon 1 roz
"Shamma" say puchun


Maza ki mein hai
" JALNEY MEIN YAH JALANE MEIN"
Nikal aya CHAND
bikhar gaye SITARE
So gaye panchi
so gaye nazare
Kho jao aap b
mithe khawabo me
dekho raat me
sapne PYARE PYARE
Good Night!!
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k ,
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k .

Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos ,
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k .

Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay ,
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay .

Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka ,
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k .

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin ,
Daikhtay hain yeh aziat bhi gawara ker k ..!
Mere Andaz-E-Wafaa ko Jab Samjh jao Ge
Meri Yadon Se Phir Na Behel Pao Ge
Ben jaonga Mein Tumhare Liye Harf-E-Dua
Khud Ko Jab B Sajde Mein Pao Ge
Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna

Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Nighahain bolti hain Betahasha

mohabat paglon ki guftgu hai.
dil dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yaad thi ab yaad aya

haal e dil hum bhi sunatey lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aya

bari mushkil se guzara tha ye din aey dost!
phir tera waada e shab yaad aya

beth kar saaya e gul main NASIR!
hum bohot rooye wo jab yaad aya
Ker lea hai faisla kehna ossay
abb na hoga rabta kehna ossay
jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH
kho gaya woh Rasta kehna ossay
teri YADEEN DIL se ruksat ho gain
ho chuka yeh saneha kehna ossay
abb na dekhay ga tumhara rasta
dil ko may samjha chuka kehna ossay
cheen se sone na dega Ghum tujhi
raat bher abb jagna kehna ossay
aashna bun ker na milna rah may
Dosti ek khuwab tha kehna ossay
moer k pechay dekhtay hum bhi nahi
soch ker munh phairna kehna ossay