Ab To Kuch Na Hua Peeke Behek Jaane Se,

Ab To Kuch Na Hua Peeke Behek Jaane Se,
Ab To Kuch Na Hua Peeke Behek Jaane Se,
Baat Maikhane Ki Baher Gayi Maikhane Se,
Do Nigahoon Ka Jawani Mein Hai Aisa Milnaa
Jaise Deewane Ka Milnaa Kisi Deewane Se,
Dil Ki Ujdi Hui Halat Pe Na Jaaye Koi,
Saher Aabad Hue Hai Isi Veerane Se,
Daro Deewaro Pe Kabza Hai Udasi Ka Nazeer,
Ghar Mera Ghar Na Raha Unke Chale Jaane Se..
  

May, 27 2010     334 chars (3 sms)     1866 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tum na khush fehmiyoon mein kho jana

woh tou hans ker sab hi se milta hai
Jo Sochta Hon Uski Wazahat nahi krta Shayad me Kbhi Khul K Mohabat nahi krta,

Jis Tarah Tujhe Toot ke
Chaha Hai Faiz,Aise To
Koi Shakhs Ibadat Bhi
Nahi Krta.>
Muhabat Ka Irada Ab Badal Jana Bhi Mushkil Hai

Tumen Khona Bhi Mushkil Hai Tumen Pana Bhi Mushkil Hai

Udasi Tere Chehre Ki Gawara Bhi Nahi Lakin

Teri Khatir Sitare Tor Kar Lana Bhi Mushkil Hai

Zara Si Bat Par Ankhen Bhigo Kar Baith Jatey Ho

Tumen To Apne Dil Ka Hal Batlana Bhi Mushkil Hai..
kantoon pe guzaar daitay hain apni saari umar..

kon kahta hai in pholoon ko koi ghm nahi hota..
Pyaar se pyari koi majboori nahi hoti.
kami apno ki kabhi puri nahi hoti.
Dilon ka juda hona alag baat hai,
Nazron se door hona koi doori nahi hoti.
Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay,

Tanhaai Mein Jee
Letay,

Tum Ko Na Sada
Detay,

Is Dil Se
Dil Tak,

Deewaar Utha
Detay,

Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay ....
zaalim tha wo or zulm ki adat b boht thi,
majboor te hum bus se mohabat b boht thi,

Waqif hi na tha rasm-e-mohabat se wo warna,
Dil k liye thori c inayat b bohat thi.
Chaha hai tuju ko chahat sy zayda..Samja hai tuj ko mohabbat sy zayda..Ye main janta hoon ya Dil janta hai.......
lamhe yeh suhane sath ho na ho.
kal me ajj jesi koi baat ho na ho.
apka piyar hamesha is dil me rehey ga
chahe pure umar mulakat ho na ho
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!
waqt ki aanch main pather bhi pigel jaty hain
qeh qehhy loat ker ashkon main badel jaty hain
koun kerta hai yaad kisi ko umer bher
waqt kay sath insan bhi badel jaty hain
tum sab jo meri baat suno
ik kissa tumhein sunaata hoon
ye kissa nahi zamanay ka
ye kissa hai parwaanay ka
jo pal pal jeeta marta tha
jo pyar bohot hi karta tha
har baat usay maloom to thi
ek baat magar wo bhula betha
shamma ko haasil karnay mein
khud apna aap ganwa betha
youn ishq ki had se guzarnay mein
parwanay k jal marnay mein
ab jaagti hai na soti hai
shamma ab har pal roti hai