Suno
KIsI Ne Sach kaha Tha Ye
Mohabat Maar NahI SaktI Magar
Adhora Sach Suna Humne
Mukamal Sach To ye HaI Ke
Mohabat Khud NahI MertI Mohabat Maar DetI HaI
AB Mohabbat KI Wakalat NahI KI Ja SaktI Shehar Bher Se To Adawat NahI KI Ja SaktI Mera Chehra MerI AankhaIn haIn Salamat Ab bhI Kon Kehta HAI Wazahat NahI KI Ja SaktI Baat Ye HaI K KoI Toot K Chahye To SahI Her KIsI Se To Mohabbat NahI KI Ja SaktI
Uss FIzaa MeIn BhI Jalte Rahe Hum kIsI K LIye
Jahan ChIrag Taraste Thay RoshnI K lIye
Yaad Rahe Ga Ye Door-E-Hayat BhI Humko
K Taraste Thay ZIndagI MeIn ZIndagI K LIye
KIsI Ko APne Aamaal Ka HIsab KIa Dete
Sawal sare Ghalat Thay jawab KIa Dete
Jo Ek Lafz KI Khusbu ko Na Rakh Saka Mehfoz
Uske Haath MeIn SarI KItab KIa Dete
KhoshIon Se Naraz HaI MerI ZIndagI,
Pyar KI Mohtaaj HaI MerI ZIndagI,
Hans LaIte HaIn Dunya Ko DIkhaney K Lye,
Warna Dard KI KItab HaI MerI "ZINDAGI"...
Toot Ker Chaha JIse WO Lot Ker Aaya NahI Mere DIl Ko Uss Ke SIwa Aur KoI Bhaya NahI Pyar KI Soda-GarI MeIn Hum BAraber Hee Rahe
Usne Kuch Khoya NahI Aur Hum Ne Kuch Paya NahI