Urrti rehti hai 1 gard mujh may.....

Urrti rehti hai 1 gard mujh may.....
Urrti rehti hai 1 gard mujh may.....!
Kon phirta hai dar''badr mujh may.....!
Mujh Ko mujh may jagah nahi milti.....!
Wo hai mojood is qadar mujh may....!
  

May, 27 2010     158 chars (1 sms)     2515 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kahan se aati hai Hichkiya,

kaun Fariyad karta hai.

Khuda usey Hamesha Salamat rakhe,

Jo HUME pyar se yaad karta hai.
Jin ki Fitrat main Qarar Bhot Tha
Unka Milna Dushwar Bhot Tha
Jo Mere Hathon ki Lakeeron main Na Tha
Mujy Us Shakhs se "Pyar" bhot Tha
Mera apna na tha koi mere siwa.

Main ne chaha kisi ko, na chaha gaya..

Main ne jitne mohabbat bhare khat likhe

Un pe apne hi ghar ka pata likh diya
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Ek hi zakhm Nahi sara Badan zakhmi Hai







Dard Hairan Hai ke Uthun To kahan sE uthun
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
Umeedo ki manjil toot gayi
aankho se ashqo ki dhara beh gayi
are tumahri bhi kya izaat reh gayi
jab class ki ladki bhaiya keh gayi
Dasht-E-Ghurbat main


jis pairh Ne,



mere Tnha Musafir Ki khatir,


Ghani Chaon Phailai hY,

Us ki Shaadabion k Liye

Meri sb Unglian

Hawa main

Dua Likh rahi Hain.
sabab rony ka wo poochain to bs itna keh dena,

mujhy hasna nahi aata jahaan par tum nahi hotay..
Woh Mil Jatey Hain Kahani Bankar
Dil Mein Bas Jatey Hain Nishani Bankar
Jinhe Hum Rakhte Hain Apni Aakhon Mein
Kyun Nikal Jatey Hain Wo Pani Bankar
Khayaalo Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai
Nigaahon Ko Teri Talaash Rehti Hai
Tere Bina Koi Kami Nahi Lekin
Tere Bagarr Tabiyat Udaas Rehti Hai
Kabhi shikasto''n k dukh uthhaey to us say poochoo''n...


Woh mairi maanind toot jaaey to us say poochoo''n...


Usay bhi koi sitaara manzil say door kar day...


Usay bhi rasta nazar na aaey to us say poochoo''n...


Safar may woh bhi kisi karray imtehaan say guzray...


Usay bhi yoo''n koi aazmaaey to us say poochoo''n...


Usay mohabbato''n may kaun sa dukh diya hay mai''n nay...


Kabhi nazar say nazar milaaey to us say poochoo''n...


Mairi tarah din charrhay tak woh bhi na soey...


Usay bhi shab-bhar neend na aaey to us say poochoo''n...!
Suna Hai Ghair Ki Mehfil Main Tum Na Jao Ge


Kaho Tou Aaj Saja Loon Ghareeb Khane Ko