mit''tay nahi hain mar k bhi rishtay khaloos k..

mit''tay nahi hain mar k bhi rishtay khaloos k..
mit''tay nahi hain mar k bhi rishtay khaloos k..

"yonhi diye lahad pay jalata nahi koi..
  

May, 28 2010     92 chars (1 sms)     2468 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Raat Ka Galiban ,Aakhiri Pehar Tha …
Mujh Say Tanha Sitara Yoon Gooya Hoa

Hamnasheen …
Alwida !!
Aey Meray Hamnasheen . .Mujh Ko Nend Aa Gai

Tum Bhi So Jaao Ja Ker Kahen
Kal Milen Gay Yaheen..!!

Ye Sun Kar Main Halka Sa Muska Dia
Us Ko Batla Dia

Janay Walay Yahan Lout‘tay He Nahi
Tum Na Ao Gay Kal

Mujh Ko Hay Ye Yaqeen
Baat Sun Kar Meri

Wo Ruk Sa Gia …
Or Kehnay Laga ..

*Tum Say Wadah Karon
Phir Na Pora Karon ?

Aisa Mumkin Nahi …
Sun Meray Hamnashen …Main To Insaa‘n Nahi
yun lagta hy


jese


dard k patal mai koi


tanhayo''n k darbar mai koi


hijar k maah.0.saal mai koi


sanatto''n ki taaq mai koi
mujhe rakh kar bhool gaya hy!!!!!!!
ae zindagi tujh se acha tu mera zakhum hai.

jub dard hota hai to ehsas dilta hai zinda hone ka..
baat Be baat Toot jAta hAi


Dil B KachA makaan hAi shAyed
Tumse Milne Ki Justju Bi Ha

Aur Tu Mere Rubru Bi Ha

Hosla b Nahi Hy Jine Ka

Aur Jeene Ki Arrzu Bhi Ha

Hum ne Socha Dil Jala Dain

Phir Khyal Aya Dil Me Tu Bhi Ha
bechainyi hai sansoon me dard utha hai seeney me
bichar ker apne dilbar se aye maza na jeeney me
ayee.......mere dilbar agar tera saath nahi hai to
phir bhala hum kya ker rahain hain is duniya me
SARI DUNYA K MAREEZON KU SHAFA DAY YARAB



AAJ MALOOM HUA HAY KAY ALALAT KYA HAY
Lay Gea Wo Sab Kuch Magr Hosla Rehne Dia


Yani Meri Zindagi Ka Silsila rehne dia


Hum gay Thay Us k pass us ko Mananay k Liye


Wo Khafa Acha Laga Hum Ne Khafa Rehne Diya
Jis Shakhs K Liye Hum Ne Saari Hadain Tor Deen,

Us Shakhs Ne Humain Aaj Kaha Hai K Apni Had Mein Reh Kar Baat Karo.
Mere Kandhe Pe Ser Rakh Kar..

Us Ne Pucha K Kab Tak Apne Kandhe Pe Sone dogae...?


Maine Hanste Howe Kaha...!

Jab Tak Log Mujhe Kandha nhi datey
Mohabbat Na Rahe Tou Phir
Raha Kuch Bhi Nahi Kerta

k Itni Taiz Aandhi Main
Bachaa Kuch Bhi Nahi Kerta

Wo Mujh Ko yaad Rakhna
Ab Gawara Hi Nahi Kerta

Main Jis Ko Yaad Rakhne
K Siwa Kuch Bhi Nahi Kerta

Kaha Tha Tujh Se Nadaan
k Zulm Ki Taiz Baarish Main

Siwaye Kachy Makano''n k
Gira Kuch Bhi Nahi Kerta ...
Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta