chahay kassa mossam ho

chahay kassa mossam ho
chahay kassa mossam ho
chahay kassa b din ho
koi afsurda bat ho ya chahay koi b ghum ho
himatain nhi khona tum udas mut hona
zindagi k rastay main mushkilain to atti hein
sath chorr daitay hein
jo hanssi k sathi hein
muskurahatain magar nhi khona
tum udas mut hona
  

Jun, 04 2010     273 chars (2 sms)     2470 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
Youn Baghoon Main Wo Chah Jati
Phir Choti Phirti Pholoon Ko
Youn Rang Wo Apna Bikhrati

Es Haray Bharay Gulshan Ko Wo
Youn Apnain Rang Say Chamkati
Nadani Thee Us Ki Apni
Oroon Kay Hath Na Aati

Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
UNHE KISSA-E-GAM SUNATE SUNATE
KATI RAATEIN AANSU BAHATE BAHATE

KAHI BUJH NA JAYE CHIRAAG-E-TAMANNA
CHIRAAG-E-MOHABBAT JALAATE JALAATE

KISSI KO KHABAR HI NAHI LUT GAYAA HU
MOHABBAT KI DUNIYA BASATE BASAATE

KEHDE KOI UNSE.....
WO KHUD BAAZ AAYE APNE SITAM SE
HUM THAK GAYE HAIN MANATE MANATE
tUmhEn gUxry jOo Ek mUDDat hUi. . .
BAkhUda sanS lEne mEin dIqat hUi. . .
dhEEry dhEEry mEin hOta raHa bErdaD. . .
wOh barIsh kI bOndEin Or bUs tEri yaD. . .

MEin tUjh kO dhOndTa hOon mOajxOn kI taraH. . .
MEra mIjax hOgaYa kIsy tOty maKan k kOnO kI taraH. ..
Ek bAr akEr mEra wajoOd kEr abaD. . .
wOh barIsh kI bOndEin Or bUs tEri yaD. . .

MEin tanHa hOn pEr tEre satH bHi hoOn. . .
jIs kI kabHi sUbhoO na hoO wOh andhEri raaT hOon. . .
Aa dEkh mEin kIya hO gaYa tEre bAd. . .
wOh barIsh kI bOndEin Or bUs tEri yaD. . .

MUjHy tEre pasS aB rEhna hAi. . .
Ya pasS tUjhy aB rakHna hAi. . .
MEre MoUla mUjHay saNs k bandHan sE kEr aXaD. . .
wOh barIsh kI bOndEin Or bUs tEri yaD. . .

yOu dOn't knOw hOw lOng.
I have bEEn waitEd fOr yOu
I'd rathEr diE, thEn stAy awaA frOm yOu. . .
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha

Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha


Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed

Usi Waqt Is Tufaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Kon Yaad Rkhta Hy Tum Bhi Bhool Jaoge ..

Wasl K Zamany Mein..

Hijraton K Mosam Ko..

Aankh Ki Udasi Ko..

Aarzo Ki Khusbo Ko..

Aitbar Lamhon Ko..

Aitbar Khona Hy..

Zindgi K Haathon Mein..

Zindgi Khilona Hy..

Yaad Hi Nhi Rehta..

Kon Kis Jaga Pr Tha..

Sab Hi Bhool Jate Hyn..

Tum Bhi Bhool Jao Ge..
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
palkein bi chamak uthi hein sote hi hamari
aankho ko abhi khawab chupane nahi aaty
dil ujri hain ik saraye ki terha hain
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hein
ab yaad samje derd porane nahi aate
urdny do abhi parindo ko shoh hawa mein
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
is shehar ke badal teri zulfon ki terha hein
yeh aag lagate hein per bojane nahi aaty
ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gaye hein
aaty hein magar dil ko dukhane nahi aaty…
Wo jisay samajhtay thay zindagi
Meri dharkano ka faraib tha
Mujhay muskrana sikha k wo
Meri rooh tak ko rula gaya
Wo k jis ko panay ki chah mein
Mein kabhi khilta gulaab thi
Meri pati pati bikhar gae
Mujhay aisi thokar laga gaya
Ajab shakhs tha wo ay zindagi
Jisay samjh k bhi na samajh sakay
Mujhay chahta bhi gazab ka tha
pyaar kay deep jalaney walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan sey janey walay kuch kuch pagal hotay hain
hijr kay gheray zakhm milay to mujhko ehsaas hua
pagal ko samjhney walay kuch kuch pagal hotay hain
jaan sey piyarey logo sey bhi kuch kuch pardah lazmi hai
sary baatein bataney walay kuch kuch pagal hotay hain
is kay ishq mein bheeg kay humko yeh ehsas hua
dil ki baat mein anay walay kuch kuch pagal hotay hainn
Tere Mere Beech Zamana Parta Hai
Dil ko Kitni Baar Batana Perta Hai

Thehar Gayi Hai Baat Muqadder Per Aa Ker
Khud Ko Yeh Aksar Samjhana Parta hai
Tumhain abb bhool hi jain to acha hai
Yeh faslay or bhi barh jain to acha hai

Tumhari chahatain hum ko nahi hasil
Too abb ghair hi bun jai to acha hai

Hummari to umer guzri hai teri chahat mein
Too iss aag mai na jalay to acha hai

Barsoon say thi duaa keh too meray sath ho
Kehti hoon kay abb samna na ho tera to acha hai

Rehta tha teri muhabbat ka saya hummaray sath
Abb to apni perchai bhi na ho to acha hai

Raiza raiza hoo chukki hai rooh meri
Keh baddan say abb nikkal hi jaiy to acha hai
Agar woh rooth jaati hai,
to hamaari jaan nikalti hai

ye saansen jaari rakhne ko
hum uski maan lete hain
Tujhay ishq ho Khuda karay………..
Koi tuj ko us say juda karay
Teray hont hansna bhool jayain
Teri aankh purnam raha karay
Too Usi ki batain kia karay
Too Usi ki batain suna karay
Tujhay hijr ki woh jhari lagay
Too Milan ki har pal dua karay
Too nagar nagar phira karay
Too gali gali sada karay
Tujhay ISHQ ho phir Yaqeen ho
Ussay Tasbeehon pay parha karay
Main kahoon ishq dhong hay
Too nahin nahin kaha karay