Do Pal Ka Kaam Nahi

Do Pal Ka Kaam Nahi
Mohobbat Ka Imtihan Aasan Nahi
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi

Muddatein Beet Jati Hain Kisi K Intezar Mein
Ye Sirf Pal Do Pal Ka Kaam Nahi
  

Jun, 03 2010     140 chars (1 sms)     2960 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aj December ki pehli shab hai
Khanak khanak see
Sard sard see dhund alood
Beetay dinon ki saari batein
Aik aik kar k zehan k
Dareechon say jhank
Rahi hain
Kahin pay manzar bhag rahay hain
Kahin par muqadar jag rahay hain
Har aik lamhay ko khoj rahay hain
Aisay lamhon mein kuch deewanay
Beetay dinon ko soch rahay hain
Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sare aam pukara nahi jaata,
Hoti he dosti me kuchh raaz ki baaten,
Yuhin to iss khel me dil haara nahi jaata!
Tumhari Yaad Ki Dali

Utha Ker

Zubaan Pe Rakh Li Hy Maine

Ye Qatra Qatra Pighal Rahi Hai

Main Qatra Qatra Hii Jee Raha Hoon .
Aae Umr-E-Rawaan Aahsta Chal
Abhi Khasa Karz Chukana Hae,

Kuch Khuwaab Hain Jin Ko Likhna Hae,
Aur Tabeer Ki Surat Deni Hae,

Kuch Log Hain Ujrey Dil Waley,
Jinhain Apni Muhabbat Deni Hai,

Kuch Phool Hae Jin Ko Chunna Hae Aur Haar Ki Surat Deni Hae,

Kuch Apni Neendain Baaqi Hain,
Jinhain Bantna Hai Kuch Logo Mae,:Aur Un Ko Rahat Deni Hae,

:Aae Umr-E-Rawan Aahista Chal,

Abhi Khaasa Karz Chukana Hae....!!!!
Agar Mohabbat Se Darr Lgta Hy
Tou Saans Lena Chorh De

Mohabbat In Hawao''n Mein
Dua Ban K Basi Hui Hy ..
Tairy Tarz-e-tagaful sai hamain kia gila dost
.
Shayed hamain hi nahi ata dilon mai ghar karna
ansoo palkon se choot jate hein,

jub sahare toot jate hein,,

kuch smajh mein nai ata,.

hum kehte b kuch nai!!

per log hum say rooth jate hein.
Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.
Meri Sab Koshishen Nakaam Thi Un Ko Manane Ki

Na Jane Kahan Say Seekhi Hain ZAALIM Ne Adayen ROOTH Jane Ki
Meri pehchan bas naam hi sahi,

yaad na aaye tumhe itne badnaam to nahi.

hume bhul jana majburi hi sahi,

magar sachmuch bhul jao ye zaruri to nahi
Umar bhar chaha k zameen_o_asman humara hota

Kash k khwahishon ka bhi koi kinara hota

yeh soch k usko meinay roka hee nahi

Dour jata hee kion agar wo humara hota
USKA HI ZIKR HAI AUR MAIN HUN
ISHQ BE KHABAR HAI AUR MAIN HUN

ZYADA KEHNA BHI KYA LAFZ HANSTE SE HAIN
USKA HI ASAR HAI AUR MAIN HUN

FASLE NA RAHE DOORIYAN MIT CHUKIN
PYAR KA IK SHAHAR HAI AUR MAIN HUN

EK GUMNAAM PYAR EK KHAAMOSH ISHQ
HASRATON KA NAGAR HAI AUR MAIN HUN