be azar wo kar late hain wada

be azar wo kar late hain wada
be azar wo kar late hain wada yeh samajh kar.
yeh ahl-e-murwat hain,taqaza na karen ge.
  

Jun, 01 2010     89 chars (1 sms)     2655 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

her ik mausam main roshni si bekhairtey hain sagar

tumharey ghum ke charagh meri udasiyon main.
Wo tum na thay ik khayal tha..
meri soch ka hi ik kamal tha..
Wo mohabbatain wo chahatain..
meri uljhanon ka hi jaal tha..
mere dil mein thien jo ronaqain..
wo tera hi husn-o-jamal tha..
mujhe jawab jis ka mila nahi..
wo aisa hi ik sawal tha..
use yaad kaise na karain hum..
use bholna tou muhal tha..
wo aj gaya tou ahsas hua..
kis kadar mujhe us se pyar tha..
ab uss ki kia main misaal don..

WO AP APNI MISAAL AP THA....!!!!
Kuch ajab rang se guzri hai zindgi apni,

Dilon pe raj kia or muhabton se mehrom rahe,

Hum wafa kr k b ban gaye mujrim,

Wo daga de k b masoom rahe...
Phoolon Se Puchho Isme Singar Kitna Hai
Mere Dil Se Puchho Isme Pyar Kitna Hai
Saaye Ki Tarha Tumhara Pyaar Saath Rehta Hai
Tumhare Saath Guzra Hua Har Lamha Yaad Rehta Hai

Mujhe Tou Hosh Nahi Tumko Khabbar Ho Shayad. . .
Log Kehte Hyn K Tum Ne Mujhe Barbaad Kia
Zikr unka hi aata hai mere fasane me,
jinko jaan se jyada chaha hamne jamane me.
Tanhai me unki hi yaad ka sahara mila,
nakamyab rahe jinko hum bhulane me
dil dukhane k lye wo krta raha mujh se ek shakhs ki muhbt ki batain.

amir

pata nahi wo khush naseeb shakhs jahan mein hai bhi k nahi.
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Iqrar mein kahan hy Inkar ki si khoobi ...

K barhta hy shauq-e-Ghalib un ki nahi nahi sy ..
Mere Andaz-E-Wafaa ko Jab Samjh jao Ge
Meri Yadon Se Phir Na Behel Pao Ge
Ben jaonga Mein Tumhare Liye Harf-E-Dua
Khud Ko Jab B Sajde Mein Pao Ge
aakhri mulaqat sey mujhko bas ye maloom howa.

usse dushwar lagta hai ab mujhse taakluq-e-wafa rakhna.....
Bari chaah hai Dil ko tujhy paanay ki".

Tujhy Apna k tera ho jaanay ki".

Teri zaat k Reshay Reshay main Bikhar jaanay ki".