Mujhe MUSALMAN se kafir bna kr faqat itna

Mujhe MUSALMAN se kafir bna kr faqat itna
Mujhe MUSALMAN se kafir bna kr faqat itna kaha...

Tum to deen se wafa na kr sakaY hum se kYa kro gaY...
  

Jun, 01 2010     106 chars (1 sms)     6596 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
Usko Chaha to mohabbat ki samaj aayi Faraz

Warna is lafz ki tareef suna kerte they.
mujh se muahbat ka zikar na karna...

kayonk main apne aap se khafa rahta hoon..
Houslay Zindgi K Dekhtay Hain..

Chalo Kuch Roz Jee K Dekhtay Hain..

Barishon Say To Pyas Bujhti Nahin..

Aao Ab Zeher Pee K Dekhtay Hain.../
usey apney farda ki fikar thi,
wo jo mera waqif-e-haal tha

wohi us ki subhey urooj thi,
wohi mera waqte zawal tha

kahan jao gey mujhy chor k,
main ye pouch,pouch k thak gaya

wo jawab na mujh ko dey saka,
wo tou khoud sarapa-e-sawal tha

usey meri chup ney rula dia,
jise guftogu main kamal tha
Barha k mujh se rah-o-rasm ab wo sochte hain,



Wohi bohat tha jo rishta dua salam ka tha......!!!
....
Muhbt rog hoti ha kaha b tha . .
Rula k khud b roti ha kaha b tha . .

Use tm dil ki dharti ka pta mt do . .
Ye us ma dard boti ha kaha b tha . .

Kinare k buht nazdeek le ja kr . .
Ye kashti ko daboti ha kaha b tha . .

Azal se is ki aadat ha zamane ko . .
Jaga kr aap soti ha kaha b tha . .
na pakren daman-e-alyaas gardab-e-fana main hum.

k badter doob kar marne se hai jeena sahare ka.
rait k gahronde bana kar thori dair k laye spane sjate thy bachpan main..

phir unhain rait k gahrondon ko tord dena gahr wapias jate howe..
uski ankhon me nazar aata tha sara jahan muj ko..

wassi

magar uski ankhon me khud ko kabhi dekha hi nhi..
Chaha na usne mujhe bas dekhta raha
MERI zindagi se wo is tarha khailta raha
Na utra kabi meri zindagi ki jhel mai
BAS kinaray pr betha pathar phenkta raha.
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana Chahta Hoon

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon

Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon

Mere Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon