meri zindagi main faqat..

meri zindagi main faqat..
meri zindagi main faqat..

do he kaam, na mumkin rahy"wasi"

tujhy paa lene ki tamana.

ya phir?

tujhe bhool jane ki khawaish....
  

May, 28 2010     138 chars (1 sms)     2648 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

apni to wo misaal hai jesay koi darakht,
dunya ko chhaon bakhshay aur khud dhup main jalay...
A chand!
Kuch dair zamin pe Aana

Aaj ki shab un k ghar ko hai jana

Nazuk sa dil hai unka

Darwaza bary piyar se khat''khatana

Yad rkhna wo tum se b ziyada khubsorat hai

Bas piyar se us ko zra choom k ana

Pochy agr woh aane ki wjah

To kisi choti c baat pe uljh jana

Yad rakhna jadoo hai unki baton me

Wo laakh roken magr tum lot jana!

Ae chand kuch dair zamin pe aana... ;->
Iss Badi si Dunya mein har Shakhs ko choti si Ek Talaash hoti ha . . .
Kisi ko Dost ki. . .
Kisi ko pyaar ki. . .
Kisi ko Chahat ki. . .
Aur
Kisi ko APNO ki. . .
Bass ek Apna joh Sirf Apna ho. . .
Shayad or Kuch Bhi nahii!!. .
Log apna bana kar chor date hain
rishta gharo se jor laite hain
Hum to ik phool bhi nahi toor sake
Log to dil bhi toor date hain
mohabbat ki battian
mohabbat se kerna
mohabbat ka wada
wafaoun se kerna

mohabbat dua hai
dua hai mohabbat
diloun se nikaltie
sada hai mohabbat

ansoo ka qatra
zubaan hai mohabbat
ye dill janta hai
ke jaan hai mohabbat
Meri umer bhar ki shairi...

bus ek shakhs k gird..
bus itna hi kaha tha hum barso k piyasey hain.
honto ko us ne choom kar khamosh kar dya.
Anjana sa sapna palkon mein khelta hai,
andekha sa koi apna aankhon mein basta hai,
jiski pyaari si muskurahat saare ghamon ko bhula de,
aise kisi saathi ka saath jannat dikhata hai,
maine suna hai...chahat ka safar aise hi shuru hota hai!!!
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye
aag aisi lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye
Aaj bhi rote hai unhe yaad karke
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE
Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
Kis Baat Ki Sazaa
Wo kis baat ki mujhko sazaa deta hai,
Meri muskurati hui ankhon ko chalka deta hai.
Ek zamane se khabar bhi nahi teri,
Koi is tarah bhi kya apne pyaar ko bhula deta hai
na koi khawab hamaray hain na taberain hain
hum to pani pe banai howey tasveerain hain

kya khabar kab kisi insaan pe chaat aan giray
qareya e sung hai orr kanch ki tameerain hain

lut gaye mooft main doonu, teri dolat mera dil
aey sahhee! teri meri aik si taqdeerain hain

hum jo nakhawanda nahi to chalo aao parhein
wo jo deewar pe likhi howey tehreerain hain

ho na ho yeh koi such bolnay wala hai QATEEL
jiss k haath main qalam paon main zangeerain hain