Apni yaden, apni batain lay ker

Apni yaden, apni batain lay ker
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
  

Jun, 01 2010     316 chars (2 sms)     2692 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

neend ko aankhain krib hone nhe deti.

achi hai uski yaad jo sone nhe deti.
ajeeb hotay hain aadab-e-rukhst-e-mehfil.....

uth k vo b gaya jis ka koi ghr na thaa....
yeh rakh rakhao muhabt sikha gayi hai use..

kah wo roth k bhi mujh se muskura k milta hai..
Sab se chahat ka silsila rakhna
Phir bhi thora sa fasila rakhna
Kitna mushkil hai dard kha k bhi
Dil mai jeney ka hosla rakhna
Sehte rehna dard bhi zamany ke
Aur chehra bhi phol sa rakhna
Mai ujalon mai dhal k aaon ga
Tu darecha sada khula rakhna
Zindagi us ki khushbo hai SAGAR
Dard ka gulshan sada hara rakhn
bewafa

agar tum aaeena dekho to,


khud se nazren chura lena,

ke aksar bewafa logon ko,


ankhen chor lagti hain.
Suno Pagal..!!
Kahray rehnay say kya hasil..?
Huwa tow buss yehi ho ga..
Hawain dil dukhain gi..
Nigahain bheeg jain gi..
Chalo under chalay jaoo..
Suna hai jo marzi say chala jay..
Woh phir wapis nahin ata..!!
hm to Aghaz-e-Muhabbat mein hi lut chukey faraz... Log kehtey hain k anjaam bura hota hai..
Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !
Door Reh Kr Na Kro Bat Qareb A Jao

Yad Reh Jayegi Ye Rat Qarib A Jao

1 Muddat Se Tamanna Thi Tumhe Chune Ki

Aj Bas Me Nahi Jazbat Qarib A Jao

Apne Hont Mere Honto Pe Rakhdo Zara

Beet Na Jae Kahi Ye rat Qarib A Jao . . . ;->
Jab B Yad Karo
Pyar se Karna

Jab B Muskurao
Dil Khol K Muskurana
Jab B Rona
Zara Kam Hi Rona
Magar Jab Kisika Dil Todna
Zara Sochna
Soo baar Chaman Mehka
Soo Baar Bahar Aye
Duniya Ki Wohi Ronaq
Dil Ki Wohi Tanhai
Yeh Raat Ki Khamoshi
Yeh Alam-E-Tanhai
Phir Dard Utha Dil Mein
Phir Yaad Teri Aaye
Iss Alam-E-Veran Mein
Kia Anjuman Aarai
Do Roz Ki Mehfil hai
Ek Umer Ki Tanhai
Her Dard-E-Mohabbat Se
Uljhi Hai Gham-E-hasti
Kia Kia Hamain Yaad Aya
Jab Teri Yaad Aye
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne dost ko bhula deta hai.