kaash wo pal sang

kaash wo pal sang
kaash wo pal sang bitaaye na hote,
jinko yaaad kar aaj ye aansu aaye na hote,
khuda ko agar is tarah door le jaana hi tha,
to itni gahraayi se dil milaaye na hote…..
  

Jun, 02 2010     170 chars (2 sms)     4866 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ek nakaam hasrat
Ek tishna arzo
Ek beqarar Mohabbat
Ek Pyaasi Rooh
Ek Haseen Jazba
Ek adhoori Talaash
Ek Tarasti Tamana
Ek Natamaam Khwaab
Tum koi Nam Do
Ek Pechchann do
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say
Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Jante Houn Jisay Zamany Say
Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say
Jab Say Apno Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say
Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batyen Hain Bas Fasanay Say “
isi chamn me hi hamara b ik zamana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyana tha

nasib ab to nahi shaKh b nasheman ki
lada hua kbhi phulon se aashiyana tha

teri qasm are o jald ruthane vale
gurur-e-ishq na tha naz-e-aashiqana tha

tumhin guzr gaye daman bacha kr vrna yaha
vahi shabab vahi dil vahi zamana tha
kya pochtay ho kaisa hu???

ek sard hawa ka jhonka hu..

hai meri rooh main bechaini..

mai apnay aap main uljha hu..

hai mera saaya aur koi...

main aur kisi ka saaya hu..

tu khush hai apni dunya main..

mai teri yaad main jalta hu..

abb lot k aa aur daikh mujhay...

ik umar say tanha tanhahu...
Hichkiyan dila kr ye kesi uljhan mai dal rahe ho.
Ankhen bnd hain pher b nzr aa rahe ho..
km se km itna batado hmain...
yad kr rahe ho ya apni yad dila rahe ho..?
Rog Aise B Gham-E-Yaar Se Lag Jate Hain
:
Dar Se Uthte Hain To Dewaar Se Lag Jate Hain
:
Be-Basi B Kbhi Qurbat Ka Sabab Banti Ha
:
Ro Na Paaen To Galay Yaar K Lag Jate Hain
:
Daagh Daaman K Hon, Dil K Hon Ya Chehre K ''Fårååz''
:
Kuch Nishaan Umar Ki Raftaar Se Lag Jate Hain..!
Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi..
hon ajeeb kashmash may hove zindagi paraye,
mary pass tari yadian tary pas bywafayi.
Hum itnay khubsurat to nhi hain "Jaana"

Magar haan jisay Aankh bhar k daikh lain usay uljhan main daal detay hain. . .
wo loot kar aya tu maang raha tha mujh se apne kaye ki mafi..

uski aankhon ki nami or mosmeat ne maaf karne par majboor kar daya mujhe..
In Bhete Aansuon Se Aqidat Hai Mujhe B
Teri Tarah Hi Khud Se Shikayat Hai Mujhe B
Tu Agar Nazuk Hai Agar To Mein B Nahi Pathar
Tanhai Mein B Rone KI Aadat Hai Mujhe B
Iss jahan mein mohabbat kaash na hoti
Toh safar-e-zindagi mein mithaas na hoti
Agar milti BEWAFA ko sazaaye maut
Toh deewano ki kabre yun udhas na hoti