Ek Tamanna Hai Faqt

Ek Tamanna Hai Faqt
Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meharban Raho,

Tum Kisi Aur Ko Dekho To Bura Lagta Hai,

Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Saath Raho,

Gair Ka Haath Jo Thamo To Bura Lagta Hai,

Aarzo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhoon,

Tum Mere Paas Se Utho To Bura Lagta Hai,

Roz-o-Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko,

Tum Kisi Aur Ko Socho To Bura Lagta Hai...!!
  

Jun, 02 2010     367 chars (3 sms)     3642 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mera Piyar Bhi Mera Hi Mazak Ban Gaya
Loogon Ki Nazroo Main Ye Tamasha Ban Gaya

Mana K Kya Hai Jurum Maine Piyar Kar K
Par Dosro Ne Kya Piyar To Jeene Ki Waja Ban Gaya
Mere kareeb to aao ki bahut udaas hoon mai,
koi kahani sunao ki bahut udaas hoon mai,
kisi bhi jhoote dilaase se dil ko behlao to sahi,
bus aaj toot ke chaho ki bahut udaas hoon mai..............
Iqrar mein kahan hy Inkar ki si khoobi ...

K barhta hy shauq-e-Ghalib un ki nahi nahi sy ..
Tum jabse ay iho zindgi me

maine jina sikh liya,

sapno ko haqiqat mai badalna sikh liya.

Tere pyar ka nasha hai jaan,

ki maine khudko badal diya
Mohabt Dilo Ko Awara Bana DetiHe,

Gardish Me Rehne Wala Sitara Bna Deti He.

Ye Apni Hadd Me Rahe To Thik Wrna,

KisiKo VEER Kisiko ZAARA Bna deti he
rukhsat huwa to ankh mila kar be nahi gaya
wo kyun gaya ye bata kar be nahi gaya

wo yon gaya kay bada-e-saba yaad aagai
ahsas tak be hum ko dila kar nahi gaya

ghar main hay aj tak wohi khusbo basi hoi
lagta hay kay jasay wo aa kar hi nahi gaya

rehnay diya na us nay kisi kam ka mujy
our khak mian be muj ko mila kar nahigaya
Wo baat Kyun Karun JisKi Khabar hi na ho,

Woh Dua Kyun Karun Jiska Asar hi na ho,

Kaise Keh du Tujhe Lag Jaye Meri Umar,

Kya pata Agle Pal Meri Umaar hi Na ho.
sab jaan ke bhi mujhse vo bhulaya na gaya
uske diye pyar ka koi bhi nishaan mitaya na gaya
chaha bahut maine ki dafan kar dun uski sab yaadein
vo tuti hui chudi vo barsaat ki raatein,
vo aaine pe lipstick ka nishan vo mahobaat ki baatein
mujhse mere hi dil pe ye sitam dhaya na gaya
koi yaad uski or apni hateli se uska naam mitaya na gaya
Eik dil ka kaha mano eik kaam ker do

,
Eik benaam si mohabbat

meray naam ker do.

Mari zaat pay fakat itna ehsan ker do,


Eik subha ko milo or shaam ker do.
nazuk si ada ho ya teekhi dhar ho?
sath safar me ho kisi ka pyar ho
kisi ki haqeequt ho tum to kabhi khiyal ho
zindgi ki tamunna ho aur roh ka maan ho
kisi ki aadat ho tum to kabhi wabal ho
yadoon me aate ho to sansien chalate ho
dharkan ko rokte ho tum phir rok k chalate ho
agar ho ejazut tairi phir kabhi na zawaal ho
filhal to tum aik sawal ho?
yehi he tumhara jamal,Bus kamal ho!!!
khushk tinko se ghar bana raha hon mohsin,

ye janta hon k mizaj-e-yaar aag jesa hay.
jis shehr ki masjid bhi tarsti ho jabeen ko,

phir samjho k us shehr ka har shakhs khuda hy..